han imtihan nargis-e-mastana ho gaya
haañ imtihāñ nargis-e-mastāna ho gayā
har har adā par us kī maiñ dīvāna ho gayā
jalva jab un kā raunaq-e-kāshāna ho gayā
phir dil nahii. rahā ye jalva-ḳhana ho gayā
ab kyā tajalliyoñ kī kamī hai jo ye karam
jalva tarāz vo but-e-jānāna ho gayā
taiba kī vādiyoñ ko na chhoḌeñge jīte-jī
ab to hamārā naam hī dīvāna ho gayā
jab tak rahā vo bām-e-falak par thā āftāb
aayā jab un kī bazm meñ mai-ḳhāna ho gayā
kyā jaane hashr hotā qiyāmat meñ kyā mirā
achchhā huā ki maiñ tirā dīvāna ho gayā
paa.ī ḳhayāl-e-zulf-e-nabī meñ haiñ beḌiyāñ
rusvā-e-kHalq 'aḳhtar' dīvāna ho gayā
han imtihan nargis-e-mastana ho gaya
har har ada par us ki main diwana ho gaya
jalwa jab un ka raunaq-e-kashana ho gaya
phir dil nahi raha ye jalwa-KHana ho gaya
ab kya tajalliyon ki kami hai jo ye karam
jalwa taraaz wo but-e-jaanana ho gaya
taiba ki wadiyon ko na chhoDenge jite-ji
ab to hamara nam hi diwana ho gaya
jab tak raha wo baam-e-falak par tha aaftab
aaya jab un ki bazm mein mai-KHana ho gaya
kya jaane hashr hota qiyamat mein kya mera
achchha hua ki main tera diwana ho gaya
pai KHayal-e-zulf-e-nabi mein hain beDiyan
ruswa-e-kHalq 'aKHtar' diwana ho gaya
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.IX (Pg. 30)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.