apne hisab-e-umr ka paya habab mein
apne hisāb-e-'umr kā paayā habāb meñ
hastī ko apne dekh chuke ham sarāb meñ
qismat meñ thī likhī ye ḳharābī jo aa ga.e
ābād ghar se apne ye ḳhāna-ḳharāb meñ
dariyā-e-shor-e-rashk ho shahd-o-nabāt kā
Daale agar lu’āb-e-dahan kā vo aab meñ
kyā hai ummīd us se ki jāgeñ tamām shab
rakhtā jo inhirāf ho aane se ḳhvāb meñ
ai vaa.e ‘ne'matī’ ki tirī 'umr ho chukī
pahuñchā na tū kabhū bhī nabī kī janāb meñ
apne hisab-e-'umr ka paya habab mein
hasti ko apne dekh chuke hum sarab mein
qismat mein thi likhi ye KHarabi jo aa gae
aabaad ghar se apne ye KHana-KHarab mein
dariya-e-shor-e-rashk ho shahd-o-nabaat ka
Dale agar lu’ab-e-dahan ka wo aab mein
kya hai ummid us se ki jagen tamam shab
rakhta jo inhiraf ho aane se KHwab mein
ai wae ‘ne'mati’ ki teri 'umr ho chuki
pahuncha na tu kabhu bhi nabi ki janab mein
- Book : Al-Mujeeb, Phulwari Sharif (Pg. 15)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.