nigahon ke muqabil jab maqam-e-ku-e-yar aaya
nigāhoñ ke muqābil jab maqām-e-kū-e-yār aayā
tasavvur par fidā hone ko ka.aba bār-bār aayā
ḳhudā rakhe tirā dāman yahāñ tak sāzgār aayā
rahe apne to apne jān-e-jāñ ġhairoñ ko pyaar aayā
na aa.e kaam chāra-gar na aa.iiñ raas tadbīreñ
tum aa.e sāmne dil ko sukūñ aayā qarār aayā
nikal aa.e harīm-e-nāz se ghabrā ke bil-āḳhir
taḌap kar naam jab un kā zabāñ par bār-bār aayā
jabīn-e-shauq ne itrā ke pai-dar-pai kiye sajde
adā se jhūmtā aage jo vo rashk-e-bahār ayā
jahāñ se be-ta'alluq ho ke jab ḳhud ko miTā Daalā
to us ġhārat-gar-e-īmāñ ko mujh par e'tibār aayā
mirā husn-e-taḳhyyul 'arsh ke pardoñ se Takrāyā
tirī ma.asūm nazroñ ko kabhī mujh par jo pyaar aayā
huā 'manzūr' be-shak bakHt-āvar vo ghaḌī bhar meñ
tirī ulfat kā saudā le ke jo umīd-vār aayā
nigahon ke muqabil jab maqam-e-ku-e-yar aaya
tasawwur par fida hone ko kaba bar-bar aaya
KHuda rakhe tera daman yahan tak sazgar aaya
rahe apne to apne jaan-e-jaan ghairon ko pyar aaya
na aae kaam chaara-gar na aain ras tadbiren
tum aae samne dil ko sukun aaya qarar aaya
nikal aae harim-e-naz se ghabra ke bil-aKHir
taDap kar nam jab un ka zaban par bar-bar aaya
jabin-e-shauq ne itra ke pai-dar-pai kiye sajde
ada se jhumta aage jo wo rashk-e-bahaar aya
jahan se be-ta'alluq ho ke jab KHud ko miTa Dala
to us ghaarat-gar-e-iman ko mujh par e'tibar aaya
mera husn-e-taKHyyul 'arsh ke pardon se Takraya
teri masum nazron ko kabhi mujh par jo pyar aaya
hua 'manzur' be-shak bakHt-awar wo ghaDi bhar mein
teri ulfat ka sauda le ke jo umid-war aaya
- Book : Kalaam-e-Manzoor Aarfi (Edited by Hasan Nawaz Shah) (Pg. 54)
- Publication : Makhduma Amir-Jan Library, Narali (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.