nigaran kabhu na ye jaanib-e-ruKH dil-fareb pari rahi
nigaran kabhu na ye jaanib-e-ruKH dil-fareb pari rahi
Rasikh Azimabadi
MORE BYRasikh Azimabadi
nigarāñ kabhū na ye jānib ruḳh dil-fareb parī rahī
mirī chashm tā-nigah basīñ tirī mahv jalvagarī rahī
tumheñ gul kī jas ne banāyā bū kahā us ne mujh ko ziyā hai tū
rahe tum to parda-nashīñ sadā mujhe aah dar-ba-darī rahī
nahīñ hosh vāloñ pe kuchh hasad mujhe rashk hai to unhoñ pe hai
jinheñ tere jalva ke sāmne mirī tarah be-ḳhabarī rahī
ye javāb hai āḳhir āshiqī kabhū hosh hai kabhū raftagī
na vo giriyā-e-dil shab rahā na vo zārī-e-sahrī rahī
na thī chashm-e-'rāsiḳh' ḳhasta-dil kabhū ḳhālī ashk se dostāñ
shab-o-roz jaam par aap kī ravish āñsūaon se bharī rahī
nigaran kabhu na ye jaanib ruKH dil-fareb pari rahi
meri chashm ta-nigah basin teri mahw jalwagari rahi
tumhein gul ki jas ne banaya bu kaha us ne mujh ko ziya hai tu
rahe tum to parda-nashin sada mujhe aah dar-ba-dari rahi
nahin hosh walon pe kuchh hasad mujhe rashk hai to unhon pe hai
jinhen tere jalwa ke samne meri tarah be-KHabari rahi
ye jawab hai aaKHir aashiqi kabhu hosh hai kabhu raftagi
na wo giriya-e-dil shab raha na wo zari-e-sahri rahi
na thi chashm-e-'rasiKH' KHasta-dil kabhu KHali ashk se dostan
shab-o-roz jam par aap ki rawish aansuaon se bhari rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.