nihan jo soz parwane mein dekha
nihāñ jo soz parvāne meñ dekhā
ayaañ vo sham.a kāshāne meñ dekhā
vo kyā masjid meñ aabid ban ke baiThe
jise logoñ ne but-ḳhāne meñ dekhā
ba-chas-e-ma.arifat kuchh farq ham ne
yagāne se na be-gāne meñ dekhā
haqīqat kā bahar-sūrat ilāqa
jo tār-e-sub.ha har daane meñ dekhā
gayā khul dil kā uqda be-takalluf
jo zulf-e-yār ko shāne meñ dekhā
vo bolā merī vahshat dekh ke kal
junūn-e-turfa ye dīvāne meñ dekhā
huī majnūñ kī ye ḳhāna-ḳharābī
jo ābād us ko vīrāna meñ dekhā
na kahiye us kā jhunjhlānā ġhazab hai
ajab lutf us ke jhuñjhlāne meñ dekhā
'turāb' us shoḳh kī ḳhūbī na kuchh pūchh
jamāl us kā maiñ sharmāne meñ dekhā
nihan jo soz parwane mein dekha
ayan wo shama kashane mein dekha
wo kya masjid mein aabid ban ke baiThe
jise logon ne but-KHane mein dekha
ba-chas-e-marifat kuchh farq hum ne
yagane se na be-gane mein dekha
haqiqat ka bahar-surat ilaqa
jo tar-e-subha har dane mein dekha
gaya khul dil ka uqda be-takalluf
jo zulf-e-yar ko shane mein dekha
wo bola meri wahshat dekh ke kal
junun-e-turfa ye diwane mein dekha
hui majnun ki ye KHana-KHarabi
jo aabaad us ko virana mein dekha
na kahiye us ka jhunjhlana ghazab hai
ajab lutf us ke jhunjhlane mein dekha
'turab' us shoKH ki KHubi na kuchh puchh
jamal us ka main sharmane mein dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.