nihayat be-wafa nikla sanam se dil mera TuTa
nihayat be-wafa nikla sanam se dil mera TuTa
Shah Turab Ali Qalandar
MORE BYShah Turab Ali Qalandar
nihāyat be-vafā niklā sanam se dil mirā TuuTā
nahīñ ab us se kuchh ummīd bilkul aasrā TuuTā
lagāvaT se phir us ke ye shikan dil kī na jā.egī
nahīñ joḌe se miltā hai jahāñ shīsha zarā TuuTā
hamāre shīsha-e-dil ko sambhal ke haath meñ liijo
nazākat us meñ hai utnī nazar se jab girā TuuTā
bahut piirī meñ dānā.ī kā thā tujh ko ghamanD ai dil
junūñ meñ haath se laḌkoñ ke dekhā sar tirā TuuTā
kiyā thā ishq ke dam ne mujhe tāl-ul-lisān aisā
huā huuñ guñg ab jab se dam-e-nagma-sarā TuuTā
'turāb' us ko ġhanīmat jaan jo rusvā huā jag meñ
mohabbat meñ huā faanī tirā chūñ-o-charā TuuTā
nihayat be-wafa nikla sanam se dil mera TuTa
nahin ab us se kuchh ummid bilkul aasra TuTa
lagawaT se phir us ke ye shikan dil ki na jaegi
nahin joDe se milta hai jahan shisha zara TuTa
hamare shisha-e-dil ko sambhal ke hath mein lijo
nazakat us mein hai utni nazar se jab gira TuTa
bahut piri mein danai ka tha tujh ko ghamanD ai dil
junun mein hath se laDkon ke dekha sar tera TuTa
kiya tha ishq ke dam ne mujhe tal-ul-lisan aisa
hua hun gung ab jab se dam-e-nagma-sara TuTa
'turab' us ko ghanimat jaan jo ruswa hua jag mein
mohabbat mein hua fani tera chun-o-chara TuTa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.