nikle wo phul ban ke tere gulsitāñ se hum
nikle vo phuul ban ke tire gulsitāñ se ham
mahkā diyā fazāoñ ko guzre jahāñ se ham
ab to yahī harīm-e-mohabbat hai ai sanam
jaa.eñ kahāñ ab uTh ke tire āstāñ se ham
duniyā meñ ab kahīñ bhī Thahartī nahīñ nazar
tujh sā hasīn laa.eñ to laa.eñ kahāñ se ham
dil le ke jis ne dard-e-mohabbat atā kiyā
māñgeñge ab davā bhī usī mehrbāñ se ham
dāman meñ kuchh to Daal de apne karam kī bhiik
dāman tahī na jā.eñge us āstāñ se ham
terā karam rahā jo rah-e-ishq meñ sanam
ik rose aa mileñge tire kārvāñ se ham
likkhī huī thī qaid-e-anāsir nasīb meñ
le kar chale haiñ apnā qafas āshiyāñ se ham
rāh-e-junūñ meñ khilne lage āshiqī ki phuul
un ke karam ke saa.e meñ guzre jahāñ se ham
Thukrā.eñ yā navāz leñ vo ham ko ai 'fanā'
shikva kabhī kareñge na apnī zabāñ se ham
nikle wo phul ban ke tere gulsitāñ se hum
mahkā diyā fazāoñ ko guzre jahāñ se hum
ab to yahī harīm-e-mohabbat hai ai sanam
jaeñ kahāñ ab uTh ke tere āstāñ se hum
duniyā meñ ab kahīñ bhī Thahartī nahīñ nazar
tujh sā hasīn laeñ to laeñ kahāñ se hum
dil le ke jis ne dard-e-mohabbat atā kiyā
māñgeñge ab dawā bhī usī mehrbāñ se hum
dāman meñ kuchh to Dal de apne karam kī bhik
dāman tahī na jāeñge us āstāñ se hum
terā karam rahā jo rah-e-ishq meñ sanam
ek rose aa mileñge tere kārwāñ se hum
likkhī huī thī qaid-e-anāsir nasīb meñ
le kar chale haiñ apnā qafas āshiyāñ se hum
rāh-e-junūñ meñ khilne lage āshiqī ki phul
un ke karam ke sae meñ guzre jahāñ se hum
Thukrāeñ yā nawāz leñ wo hum ko ai 'fanā'
shikwa kabhī kareñge na apnī zabāñ se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.