qismaten auj pe rabbani kiye dete hain
qismateñ auj pe rabbānī kiye dete haiñ
yuuñ 'atā ham ko vo sultānī kiye dete haiñ
yuuñ ḳhayāl un ke mehrbānī kiye dete haiñ
zehn-o-dil ko mire nūrānī kiye dete haiñ
dard-e-ulfat bhī hameñ us ne diyā hai aisā
dard hī dard kī darmānī kiye dete haiñ
un kī ulfat meñ giraftār hue haiñ jab se
chāñd-sūraj bhī mehrbānī kiye dete haiñ
jān-e-jāñ aap kā andāz-e-karam kyā kahiye
raah dushvār thī āsānī kiye dete haiñ
kaam kuchh logoñ kī 'ādat se sadā bigḌe haiñ
jis jagah jaate haiñ man-mānī kiye dete haiñ
un kī aamad kā nisār aaj ye jalva dekho
kis qadar bazm ko nūrānī kiye dete haiñ
qismaten auj pe rabbani kiye dete hain
yun 'ata hum ko wo sultani kiye dete hain
yun KHayal un ke mehrbani kiye dete hain
zehn-o-dil ko mere nurani kiye dete hain
dard-e-ulfat bhi hamein us ne diya hai aisa
dard hi dard ki darmani kiye dete hain
un ki ulfat mein giraftar hue hain jab se
chand-suraj bhi mehrbani kiye dete hain
jaan-e-jaan aap ka andaz-e-karam kya kahiye
rah dushwar thi aasani kiye dete hain
kaam kuchh logon ki 'adat se sada bigDe hain
jis jagah jate hain man-mani kiye dete hain
un ki aamad ka nisar aaj ye jalwa dekho
kis qadar bazm ko nurani kiye dete hain
- Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 141)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.