chaunke na irade jab dil mein wahshat ko jamahi aati to kya

chaunke na irade jab dil mein wahshat ko jamahi aati to kya
Niyaz Makanpuri
MORE BYNiyaz Makanpuri
chauñke na irāde jab dil meñ vahshat ko jamāhī aatī to kyā
jab us ke aañsū gul-rū-e-sabze ne jo lī añgḌā.ī to kyā
hañs-hañs ke jafā jab kahtī thī tab ek ne tujh ko daad na dī
ab merī kahānī ro-ro ke mahfil ne tirī dohrā.ī to kiyā
jab yaas kā ġhāza maut aa ke bīmār ke muñh par malne lagī
tab aas na aakar bālīñ par jo zulf-e-siyah lahrā.ī to kyā
baaqī na rahī jab dil meñ mire vo baada ba-jāmī kī hasrat
ġhunchoñ ne jo sāġhar toḌ diye phūloñ ne jo mai chhalkā.ī to kyā
ab aaj mirī be-hālī par aatā jo taras to baat bhī thī
kal apne kiye par baa'd mire duniyā-e-sitam pachhtā.ī to kyā
tum Dar se shikast-e-dil kī mire ġhairoñ se na hañsnā band karo
hañste hue ġhunchoñ ke aage ik aadh kalī murjhā.ī to kyā
kis be-kas-e-ġham kī pyaas bujhī kis dil ke hue sho'le ThanDe
yak buuñd lahū kī palkoñ se hoñToñ pe Dhalak kar aa.ī to kyā
lahkātī thī jis ke 'āriz pe kal bād-e-bahārī sho'le se
ab aaj ḳhizāñ meñ us gul kī hotī hai agar rusvā.ī to kyā
jab din kī ‘niyāz’-e-be-himmat dhūpoñ se jagā.e jag na sakā
ab kHunukī-e-shab ke lorī se lī us ne agar añgḌā.ī to kyā
chaunke na irade jab dil mein wahshat ko jamahi aati to kya
jab us ke aansu gul-ru-e-sabze ne jo li angDai to kya
hans-hans ke jafa jab kahti thi tab ek ne tujh ko dad na di
ab meri kahani ro-ro ke mahfil ne teri dohrai to kiya
jab yas ka ghaza maut aa ke bimar ke munh par malne lagi
tab aas na aakar baalin par jo zulf-e-siyah lahrai to kya
baqi na rahi jab dil mein mere wo baada ba-jami ki hasrat
ghunchon ne jo saghar toD diye phulon ne jo mai chhalkai to kya
ab aaj meri be-haali par aata jo taras to baat bhi thi
kal apne kiye par ba'd mere duniya-e-sitam pachhtai to kya
tum Dar se shikast-e-dil ki mere ghairon se na hansna band karo
hanste hue ghunchon ke aage ek aadh kali murjhai to kya
kis be-kas-e-gham ki pyas bujhi kis dil ke hue sho'le ThanDe
yak bund lahu ki palkon se honTon pe Dhalak kar aai to kya
lahkati thi jis ke 'ariz pe kal baad-e-bahaari sho'le se
ab aaj KHizan mein us gul ki hoti hai agar ruswai to kya
jab din ki ‘niyaz’-e-be-himmat dhupon se jagae jag na saka
ab kHunuki-e-shab ke lori se li us ne agar angDai to kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.