tahzib-e-imarat roz nae andaz-e-shabistan badlegi
tahzīb-e-imārat roz na.e andāz-e-shabistāñ badlegī
ai dost magar shāyad ye kabhī duniyā-e-ġharībāñ badlegī
tarmīm-o-taġhayyur ke fitne uThte haiñ faqat aivānoñ meñ
badlī hai na hargiz kaifīyat kāshāna-e-vīrāñ badlegī
ummīd-e-bahārāñ se pahle ye baat hameñ mā'lūm na thī
mausam kī tarah har jumbish par taqdīr-e-gulistāñ badlegī
dikhlā.egā jazb-e-ulfat bhī andāz-e-zamāna-sāzī ke
ab maslahatan fitrat apnī āh-e-dil-e-sozāñ badlegī
majbūr kī aahoñ kā tūfāñ ik roz qayāmat lā.egā
ḳhud mashq-e-sitam se tañg aake rukH-e-gardish-e-daurāñ badlegā
allāh talab kī rāhoñ meñ taskīn kī manzil bhī hai kahīñ
ākHir ye kahāñ tak vahshat-e-dil sahrā-o-bayābāñ badlegī
marham se namak-dāñ tak to hameñ pahuñchāyā sukūn-e-rāhat ne
ai chāra-garo ab kaun-sā ruḳh ye kāvish-e-darmāñ badlegī
ehsān-e-sitam ke afsāne duniyā meñ raheñge apnī jagah
'unvān kī had tak rūdād-e-hālāt-e-pareshāñ badlegī
socho to 'niyāz'-e-zār zarā us vaqt kā 'ālam kyā hogā
kHunukī-e-sukūn-e-yās meñ jab ye sozish-e-pinhāñ badlegī
tahzib-e-imarat roz nae andaz-e-shabistan badlegi
ai dost magar shayad ye kabhi duniya-e-ghariban badlegi
tarmim-o-taghayyur ke fitne uThte hain faqat aiwanon mein
badli hai na hargiz kaifiyat kashana-e-viran badlegi
ummid-e-bahaaran se pahle ye baat hamein ma'lum na thi
mausam ki tarah har jumbish par taqdir-e-gulistan badlegi
dikhlaega jazb-e-ulfat bhi andaz-e-zamana-sazi ke
ab maslahatan fitrat apni aah-e-dil-e-sozan badlegi
majbur ki aahon ka tufan ek roz qayamat laega
KHud mashq-e-sitam se tang aake rukH-e-gardish-e-dauran badlega
allah talab ki rahon mein taskin ki manzil bhi hai kahin
aakHir ye kahan tak wahshat-e-dil sahra-o-bayaban badlegi
marham se namak-dan tak to hamein pahunchaya sukun-e-rahat ne
ai chaara-garo ab kaun-sa ruKH ye kawish-e-darman badlegi
ehsan-e-sitam ke afsane duniya mein rahenge apni jagah
'unwan ki had tak rudad-e-haalat-e-pareshan badlegi
socho to 'niyaz'-e-zar zara us waqt ka 'alam kya hoga
kHunuki-e-sukun-e-yas mein jab ye sozish-e-pinhan badlegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.