sanam kar wasl ki kabhi mehrbani
sanam kar vasl kī kabhī mehrbānī
sadā na rahegā ye husn-o-javānī
raqīboñ se mil kar miirā dil jalāyā
bhulā.ī hai merī mohabbat purānī
tirā hijr mujh ko hai dozaḳh se baḌh kar
huī haaye rusvā mirī zindagānī
hamesha tū karatā hai va.ada-ḳhilāfī
kabhī na tū pyāre merī baat maanī
agar mujh se milnā nahīñ tujh ko manzūr
to de do javāb ham ko apnī zabānī
mire ghar meñ tashrīf laao to behtar
nahīñ to ye chhallā mujhe do nishānī
mirī ġhazal sun kar to shā.ir ye bole
'ajab hai 'niyāz' ab tirī ḳhush-bayānī
sanam kar wasl ki kabhi mehrbani
sada na rahega ye husn-o-jawani
raqibon se mil kar mera dil jalaya
bhulai hai meri mohabbat purani
tera hijr mujh ko hai dozaKH se baDh kar
hui haye ruswa meri zindagani
hamesha tu karata hai wada-KHilafi
kabhi na tu pyare meri baat mani
agar mujh se milna nahin tujh ko manzur
to de do jawab hum ko apni zabani
mere ghar mein tashrif lao to behtar
nahin to ye chhalla mujhe do nishani
meri ghazal sun kar to shair ye bole
'ajab hai 'niyaz' ab teri KHush-bayani
- Book : Kalam-e-Niyaz Urf Nala-e-Firaq (Pg. 10)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.