mujhe apna mukhDa dikha re sajan
mujhe apnā mukhḌā dikhā re sajan
judā.ī diyā dil jalā re sajan
tire 'ishq phūñkā merā tan-badan
lagī ko bujhā re bujhā re sajan
shab-o-roz furqat meñ rotā huuñ maiñ
kabhī mehar se ab hañsā re sajan
na pūchhā kabhī haal bīmār ko
na pūchhī diloñ kī dvāre sajan
agar aap aate nahīñ is jagah
mujhe paas apne balā re sajan
'niyāz' ab be-chāra kahe dam-ba-dam
gale se to mujh ko lagā re sajan
mujhe apna mukhDa dikha re sajan
judai diya dil jala re sajan
tere 'ishq phunka mera tan-badan
lagi ko bujha re bujha re sajan
shab-o-roz furqat mein rota hun main
kabhi mehar se ab hansa re sajan
na puchha kabhi haal bimar ko
na puchhi dilon ki dware sajan
agar aap aate nahin is jagah
mujhe pas apne bala re sajan
'niyaz' ab be-chaara kahe dam-ba-dam
gale se to mujh ko laga re sajan
- Book : Kalam-e-Niyaz Urf Nala-e-Firaq (Pg. 11)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.