Sufinama

aisa lagta hai ke rakha hai diya pani par

Noorul Hasan Noor

aisa lagta hai ke rakha hai diya pani par

Noorul Hasan Noor

MORE BYNoorul Hasan Noor

    aisā lagtā hai ke rakhā hai diyā paanī par

    varna kyuuñ ek dhamākā huā paanī par

    ek ik mauj ba-sad shauq qadam chūmtī hai

    jab ho masrūf-e-safar raḳhsh-e-navā paanī par

    mujh ko tanhā jo safar karte hue dekhā to

    ik tasavvur bhī mere saath chalā paanī par

    tum ne sochā hai kabhī kyā tumheñ ma.alūm hai kuchh

    kheltī rahtī hai kyuuñ bād-e-sabā paanī par

    ek tālāb kināre meñ khaḌā dekhtā huuñ

    kaa.ī hai hai koī sabz-ridā paanī par

    tesha-e-mauj use mismār bhī kar saktā hai

    sun mere yaar koī ghar na banā paanī par

    machhliyāñ aa ga.iiñ ai 'nūr' salāmī dene

    us ne phūñkī thī abhī koī duā paanī par

    aisa lagta hai ke rakha hai diya pani par

    warna kyun ek dhamaka sa hua pani par

    ek ek mauj ba-sad shauq qadam chumti hai

    jab ho masruf-e-safar raKHsh-e-nawa pani par

    mujh ko tanha jo safar karte hue dekha to

    ek tasawwur bhi mere sath chala pani par

    tum ne socha hai kabhi kya tumhein malum hai kuchh

    khelti rahti hai kyun baad-e-saba pani par

    ek talab kinare mein khaDa dekhta hun

    kai hai ya hai koi sabz-rida pani par

    tesha-e-mauj use mismar bhi kar sakta hai

    sun mere yar koi ghar na bana pani par

    machhliyan aa gain ai 'nur' salami dene

    us ne phunki thi abhi koi dua pani par

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now