dasht-e-be-ab ko karata hua jal-thal nikla
dasht-e-be-āb ko karatā huā jal-thal niklā
jis ko samjhā thā yūñhī kaam kā bādal niklā
ham se aage jo ga.e the na palaT kar aa.e
rāsta jis ko samajhte the vo daldal niklā
ham ne milne ke ka.ī ḳhvāb bune the lekin
kīsa-e-umar se bas ek yahī pal niklā
ḳhauf ke saa.e vo dushman kī taraf phail ga.e
vo rajaz paḌhtā sipāhī sar-e-maqtal niklā
jin ko bastī ke dar-o-bām samajh baiThā thā
chāñd chamkā to mere sāmne jañgal niklā
sab meñ ḳhāmī thī koī sab meñ kamī thī koī
kaun aisā hai jo duniyā meñ mukammal niklā
nahr ke vāste kohsār kā dil chiir diyā
jis ko ham ahl-e-ḳhirad samjhe the pāgal niklā
'nūr' har samt udāsī kā fusūñ bikhrā thā
koshisheñ kī ga.iiñ to mas.ale kā hal niklā
dasht-e-be-ab ko karata hua jal-thal nikla
jis ko samjha tha yunhi kaam ka baadal nikla
hum se aage jo gae the na palaT kar aae
rasta jis ko samajhte the wo daldal nikla
hum ne milne ke kai KHwab bune the lekin
kisa-e-umar se bas ek yahi pal nikla
KHauf ke sae wo dushman ki taraf phail gae
wo rajaz paDhta sipahi sar-e-maqtal nikla
jin ko basti ke dar-o-baam samajh baiTha tha
chand chamka to mere samne jangal nikla
sab mein KHami thi koi sab mein kami thi koi
kaun aisa hai jo duniya mein mukammal nikla
nahr ke waste kohsar ka dil chir diya
jis ko hum ahl-e-KHirad samjhe the pagal nikla
'nur' har samt udasi ka fusun bikhra tha
koshishen ki gain to masale ka hal nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.