jab nazar aap ki paband-e-mohabbat hogi
jab nazar aap kī pāband-e-mohabbat hogī
ā.īna-ḳhāne meñ bas ek hī sūrat hogī
sāmne vo khulī āñkhoñ ke nahīñ aatā kabhī
band āñkhoñ se zarūr us kī ziyārat hogī
muddateñ ho ga.iiñ dekhā nahīñ khiltā huā phuul
muskurā dījiye ik baar ināyat hogī
isliye bazm-e-suḳhan meñ hai zarūrī shirkat
ye sunā hai tirī yādoñ kī sadārat hogī
har ishāra tirā qānūn kī sūrat hogā
dil mirā ghar hai yahāñ terī hukūmat hogī
yahī do chaar bayāzeñ haiñ asāsa merā
aur kyā is ke sivā merī virāsat hogī
jis kā munsif bhī mirā dushman-e-jānī hogā
mehrbāñ mujh pe kahāñ aisī adālat hogī
beḌiyāñ us ke tilismāt kī jakḌeñgī mujhe
aage baḌhne kī kahāñ paañv meñ tāqat hogī
paañv se jis ko masalte haiñ koī phuul nahīñ
ye mirā dil hai zarā aap ko zahmat hogī
jab maiñ pathrīlī guzar-gāh pe rakhūñgā qadam
do qadam mujh se bhī aage mirī qismat hogī
dāstāñ hogī guzarte hue lamhāt kī 'nūr'
dil varaq hogā mirā us kī kitābat hogī
jab nazar aap ki paband-e-mohabbat hogi
aaina-KHane mein bas ek hi surat hogi
samne wo khuli aankhon ke nahin aata kabhi
band aankhon se zarur us ki ziyarat hogi
muddaten ho gain dekha nahin khilta hua phul
muskura dijiye ek bar inayat hogi
isliye bazm-e-suKHan mein hai zaruri shirkat
ye suna hai teri yaadon ki sadarat hogi
har ishaara tera qanun ki surat hoga
dil mera ghar hai yahan teri hukumat hogi
yahi do chaar bayazen hain asasa mera
aur kya is ke siwa meri wirasat hogi
jis ka munsif bhi mera dushman-e-jaani hoga
mehrban mujh pe kahan aisi adalat hogi
beDiyan us ke tilismat ki jakDengi mujhe
aage baDhne ki kahan panw mein taqat hogi
panw se jis ko masalte hain koi phul nahin
ye mera dil hai zara aap ko zahmat hogi
jab main pathrili guzar-gah pe rakhunga qadam
do qadam mujh se bhi aage meri qismat hogi
dastan hogi guzarte hue lamhat ki 'nur'
dil waraq hoga mera us ki kitabat hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.