mohabbat hosh se guzri to kuchh diwangi aai
mohabbat hosh se guzrī to kuchh dīvāngī aa.ī
jigar meñ dard uTThā ashk Tapke phir hañsī aa.ī
shikast-e-nāz farmā.ī hai yā takmīl-e-ra.anā.ī
adā.eñ mahv-e-ulfat ho ga.iiñ yā sādgī aa.ī
ḳhudā.ī mil rahī thī lekin us insāñ ne Thukrāyā
kuchh aisā jalva lekar us ke aage bandagī aa.ī
mujhe mahsūs karnā hī paḌā rabt-e-jamāl un kā
yahāñ tak mere naqsh aarzū meñ dil-kashī aa.ī
tū sajde māñgtā hai aur maiñ maġhrūr-e-tā'at huuñ
ḳhudā.ī tujh ko aa.ī aur na mujh ko bandagī aa.ī
jahāñ se 'ishq ne sanjīdgī bartī ġham-e-dil meñ
vahīñ se kuchh mizāj-e-husn meñ āshuftagī aa.ī
'nushūr' ik zindagī kā tajraba hai sher mauzūñ bhī
bahut dekhe ġham-e-hastī to thoḌī shā.irī aa.ī
mohabbat hosh se guzri to kuchh diwangi aai
jigar mein dard uTTha ashk Tapke phir hansi aai
shikast-e-naz farmai hai ya takmil-e-ranai
adaen mahw-e-ulfat ho gain ya sadgi aai
KHudai mil rahi thi lekin us insan ne Thukraya
kuchh aisa jalwa lekar us ke aage bandagi aai
mujhe mahsus karna hi paDa rabt-e-jamal un ka
yahan tak mere naqsh aarzu mein dil-kashi aai
tu sajde mangta hai aur main maghrur-e-ta'at hun
KHudai tujh ko aai aur na mujh ko bandagi aai
jahan se 'ishq ne sanjidgi barti gham-e-dil mein
wahin se kuchh mizaj-e-husn mein aashuftagi aai
'nushur' ek zindagi ka tajraba hai sher mauzun bhi
bahut dekhe gham-e-hasti to thoDi shairi aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.