duniya ko KHabar kya ki kisi sada ada ne
duniyā ko ḳhabar kyā ki kisī saada adā ne
ashk-e-pas-e-mizhgāñ se badal Daale zamāne
ḳhud jal ke murattab kiye mahfil ke fasāne
parvānoñ ko dāvat hī na dī sham-e’-hayā ne
rasta vahī shādāb milā lāla-o-gul se
jis raah ko sīñchā thā kisī ābla-pā ne
hastī kī taraf dekh ke hastī ko na dekhā
marnā bhī sikhāyā mujhe jiine kī adā ne
har raah meñ naqsh-e-kaf-e-pā garm-e-safar haiñ
kuchh kaam kiyā qāfila-e-bād-e-sabā ne
iḳhlās ko fursat na milī dair-e-butāñ se
ka'abe ko basāyā unhīñ sajdāt-e-riyā ne
pechāñ hai sar-e-rāh 'nushūr' aaj kī duniyā
vo gard uḌaa.ī hai zamāne kī havā ne
duniya ko KHabar kya ki kisi sada ada ne
ashk-e-pas-e-mizhgan se badal Dale zamane
KHud jal ke murattab kiye mahfil ke fasane
parwanon ko dawat hi na di sham-e’-haya ne
rasta wahi shadab mila lala-o-gul se
jis rah ko sincha tha kisi aabla-pa ne
hasti ki taraf dekh ke hasti ko na dekha
marna bhi sikhaya mujhe jine ki ada ne
har rah mein naqsh-e-kaf-e-pa garm-e-safar hain
kuchh kaam kiya qafila-e-baad-e-saba ne
iKHlas ko fursat na mili dair-e-butan se
ka'abe ko basaya unhin sajdat-e-riya ne
pechan hai sar-e-rah 'nushur' aaj ki duniya
wo gard uDai hai zamane ki hawa ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.