Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

mera dil na tha alam-ashna ki teri ada pe nazar paDi

Nushur Wahidi

mera dil na tha alam-ashna ki teri ada pe nazar paDi

Nushur Wahidi

MORE BYNushur Wahidi

    mirā dil na thā alam-āshnā ki tirī adā pe nazar paḌī

    vo na jaane kaun vaqt thā ki binā-e-ḳhūn-e-jigar paḌī

    mirī zindagī thī ki manzil tab-o-tāb ġham meñ utar paḌī

    na junūñ rāh-guzar milī na ḳhirad rāh-guzar paḌī

    jise chāhe mālik-e-rañg-o-bū usī be-ruḳhī meñ navāz de

    maiñ idhar thā muntazir-e-karam vo nigāh-e-nāz udhar paḌī

    tirā kaam sair-e-mudām hai na ki gulistānoñ meñ Thernā

    ye kalī kalī ke fareb meñ to kahāñ se bād-e-sahar paḌī

    koī mauj bahr se duur hai to jabīn-e-bahr pe kyā shikan

    tirī rahmatoñ ko huā ye kyā mirī laġhzishoñ pe nazar paḌī

    mera dil na tha alam-ashna ki teri ada pe nazar paDi

    wo na jaane kaun sa waqt tha ki bina-e-KHun-e-jigar paDi

    meri zindagi thi ki manzil tab-o-tab gham mein utar paDi

    na junun ki rah-guzar mili na KHirad ki rah-guzar paDi

    jise chahe malik-e-rang-o-bu usi be-ruKHi mein nawaz de

    main idhar tha muntazir-e-karam wo nigah-e-naz udhar paDi

    tera kaam sair-e-mudam hai na ki gulistanon mein Therna

    ye kali kali ke fareb mein to kahan se baad-e-sahar paDi

    koi mauj bahr se dur hai to jabin-e-bahr pe kya shikan

    teri rahmaton ko hua ye kya meri laghzishon pe nazar paDi

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now