jo kaif hai firaq mein wo phir kahan visal mein
jo kaif hai firāq meñ vo phir kahāñ visāl meñ
ye be-ḳhudī jo hai mujhe kisī ke huuñ ḳhayāl meñ
na husn mujh se āshnā na naaz mujh pe multafit
'ajīb soz-o-sāz hai nigāh-e-be-ma.āl meñ
suḳhan-suḳhan meñ dilbarī adā-adā meñ kāfirī
nigāh meñ ’itāb meñ javāb meñ savāl meñ
maiñ lazzat-e-gunāh meñ tabāh-kāar-e-ġham sahī
mujhe zamāna chhoḌ de mire ḳharāb haal meñ
na mujh ko ġham 'nushūr' kā na jannat-e-surūr kā
maiñ kho chukā huuñ dīn-o-dil tajallī-e-jamāl meñ
jo kaif hai firaq mein wo phir kahan visal mein
ye be-KHudi jo hai mujhe kisi ke hun KHayal mein
na husn mujh se aashna na naz mujh pe multafit
'ajib soz-o-saz hai nigah-e-be-maal mein
suKHan-suKHan mein dilbari ada-ada mein kafiri
nigah mein ’itab mein jawab mein sawal mein
main lazzat-e-gunah mein tabah-kaar-e-gham sahi
mujhe zamana chhoD de mere KHarab haal mein
na mujh ko gham 'nushur' ka na jannat-e-surur ka
main kho chuka hun din-o-dil tajalli-e-jamal mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.