diya saqi ne awwal roz wo paimana masti mein
diyā saaqī ne avval roz vo paimāna mastī meñ
ki maiñ nā-āshnā pī kar huā dīvāna mastī meñ
jo mai-ḳhāne se maiñ niklā to merā rañg kyā kahnā
nahīñ maiñ dekhtā thā kā'ba-o-but-ḳhāna mastī meñ
mirī puujā thī kaif-añgez nazroñ kī parastārī
mirā sajda thā pesh-abrū-e-jānāna mastī meñ
sharāb-e-ātishīñ vo hai ki do ik ghūñT piite hī
jo saaqī ho to aatā hai nazar paimāna mastī meñ
nazar aatā hai mujh ko boriyā bhī taḳht-e-tā.ūsī
gadā rakhtā hai goyā satvat-e-shāhāna mastī meñ
koī kahtā hai masjid hai koī kahtā hai bāhar jā
ilāhī kyā maiñ bhūlā huuñ rah-e-mai-ḳhāna mastī meñ
nasha thā mujh ko aur yāroñ ne chāhā chhīn leñ botal
magar kaam aa ga.ī kuchh himmat-e-mardāna mastī meñ
ḳhabar kyā thī ki vaa.iz hai yahī samjhā ki saaqī hai
uThā aur uTh ke jā lipTā maiñ be-tābāna mastī meñ
qadam rakhtā kahīñ huuñ aur paḌtā hai kahīñ jā kar
'nushūr' is vaqt huuñ kuchh hosh se begāna mastī meñ
diya saqi ne awwal roz wo paimana masti mein
ki main na-ashna pi kar hua diwana masti mein
jo mai-KHane se main nikla to mera rang kya kahna
nahin main dekhta tha ka'ba-o-but-KHana masti mein
meri puja thi kaif-angez nazron ki parastari
mera sajda tha pesh-abru-e-jaanana masti mein
sharab-e-atishin wo hai ki do ek ghunT pite hi
jo saqi ho to aata hai nazar paimana masti mein
nazar aata hai mujh ko boriya bhi taKHt-e-tausi
gada rakhta hai goya satwat-e-shahana masti mein
koi kahta hai masjid hai koi kahta hai bahar ja
ilahi kya main bhula hun rah-e-mai-KHana masti mein
nasha tha mujh ko aur yaron ne chaha chhin len botal
magar kaam aa gai kuchh himmat-e-mardana masti mein
KHabar kya thi ki waiz hai yahi samjha ki saqi hai
uTha aur uTh ke ja lipTa main be-tabana masti mein
qadam rakhta kahin hun aur paDta hai kahin ja kar
'nushur' is waqt hun kuchh hosh se begana masti mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.