uDa kar le gaya aks-e-ruKH-e-saqi wahan mujhko
uḌā kar le gayā 'aks-e-ruḳh-e-sāqī vahāñ mujh ko
milā TuuTā huā ā.īna-e-hastī jahāñ mujh ko
zamāna de rahā hai sab nizām-e-kun-fakāñ mujh ko
magar apnī sharāb-e-kaif se fursat kahāñ mujh ko
maiñ khoyā jā rahā huuñ jalva-e-nūr-e-takHayyul meñ
miTā.e jā rahī haiñ husn kī rañgīniyāñ mujh ko
sabā ke har tamavvuj meñ chaman ke har tabassum meñ
nazar aatī hai fitrat gulistāñ dar gulistāñ mujh ko
sharāb-e-dard se zauq āshnā ma'alūm hotā hai
'nushūr'-e-vāhidī kā kaif-e-andāz-e-bayāñ mujh ko
uDa kar le gaya 'aks-e-ruKH-e-saqi wahan mujh ko
mila TuTa hua aaina-e-hasti jahan mujh ko
zamana de raha hai sab nizam-e-kun-fakan mujh ko
magar apni sharab-e-kaif se fursat kahan mujh ko
main khoya ja raha hun jalwa-e-nur-e-takHayyul mein
miTae ja rahi hain husn ki ranginiyan mujh ko
saba ke har tamawwuj mein chaman ke har tabassum mein
nazar aati hai fitrat gulistan dar gulistan mujh ko
sharab-e-dard se zauq aashna ma'alum hota hai
'nushur'-e-wahidi ka kaif-e-andaz-e-bayan mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.