nigah-e-awwalin ka aaj tak jab nam aata hai
nigāh-e-avvalīñ kā aaj tak jab naam aatā hai
vahī ra’anā.iyāñ lekar ḳhayāl-e-ḳhām aatā hai
maiñ un jalvoñ meñ dast-e-shauq-o-sāġhar bhuul jaatā huuñ
koī rañgīñ adā lekar jo rañgīñ jaam aatā hai
tujhe ai husn-e-’ālam-soz āḳhir kab ḳhabar hogī
ki barbād-e-tamannā koī zer-e-bām aatā hai
musalsal shām-e-ġhurbat shām-e-furqat shām-e-bīmārī
mirā dil kaañp jaatā hai jo lafz-e-shām aatā hai
mohabbat aur phir zabt-e-mohabbat uf ma.āz-allāh
ḳhudā kā sāmnā hai aur kisī kā naam aatā hai
fareb-e-husn ko bhī yaad rakh ai tishna-e-'uqbā
tamāshā aaj kā dekhā huā kal kaam aatā hai
na pūchho zindagī tār-e-nafas par jiine vāloñ kī
ki marg-e-nā-gahāñ kā har nafas paiġhām aatā hai
'nushūr' un ke ġhurūr-e-husn kā dāman pakaḌ luuñ maiñ
magar merī kamand-e-shauq par ilzām aatā hai
nigah-e-awwalin ka aaj tak jab nam aata hai
wahi ra’anaiyan lekar KHayal-e-KHam aata hai
main un jalwon mein dast-e-shauq-o-saghar bhul jata hun
koi rangin ada lekar jo rangin jam aata hai
tujhe ai husn-e-’alam-soz aaKHir kab KHabar hogi
ki barbaad-e-tamanna koi zer-e-baam aata hai
musalsal sham-e-ghurbat sham-e-furqat sham-e-bimari
mera dil kanp jata hai jo lafz-e-sham aata hai
mohabbat aur phir zabt-e-mohabbat uf maaz-allah
KHuda ka samna hai aur kisi ka nam aata hai
fareb-e-husn ko bhi yaad rakh ai tishna-e-'uqba
tamasha aaj ka dekha hua kal kaam aata hai
na puchho zindagi tar-e-nafas par jine walon ki
ki marg-e-na-gahan ka har nafas paigham aata hai
'nushur' un ke ghurur-e-husn ka daman pakaD lun main
magar meri kamand-e-shauq par ilzam aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.