dil-rubai ki haqiqat mere dard-e-dil mein hai
dil-rubā.ī kī haqīqat mere dard-e-dil meñ hai
husn agar pūchho to merī fitrat-e-kāmil meñ hai
dekhtā huuñ tujh ko yaksāñ jalva-gar donoñ jagah
maiñ nahīñ samjhā ki tū dil meñ hai yā mahfil meñ hai
jalva-farmā farq tujh meñ aur dil meñ kuchh nahīñ
terī manzil dil meñ hai aur dil tirī manzil meñ hai
jis ne dekhā hai tujhe hai vo tirā mahv-e-ḳhayāl
tū vo lailā hai ki hai ek aur sau mahmil meñ hai
allāh allāh kārsāzī 'ishq-e-'ālam-soz kī
kis qadar ḳhāmosh merī hastī-e-ġhāfil meñ hai
ḳhaas andāzoñ se har 'āshiq nahīñ vāqif 'nushūr'
ik zamāna mahv us ke 'ishva-e-bātil meñ hai
dil-rubai ki haqiqat mere dard-e-dil mein hai
husn agar puchho to meri fitrat-e-kaamil mein hai
dekhta hun tujh ko yaksan jalwa-gar donon jagah
main nahin samjha ki tu dil mein hai ya mahfil mein hai
jalwa-farma farq tujh mein aur dil mein kuchh nahin
teri manzil dil mein hai aur dil teri manzil mein hai
jis ne dekha hai tujhe hai wo tera mahw-e-KHayal
tu wo laila hai ki hai ek aur sau mahmil mein hai
allah allah karsazi 'ishq-e-'alam-soz ki
kis qadar KHamosh meri hasti-e-ghafil mein hai
KHas andazon se har 'ashiq nahin waqif 'nushur'
ek zamana mahw us ke 'ishwa-e-baatil mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.