KHub hai saqi jo teri nargisi chitwan mein hai
ḳhuub hai saaqī jo terī nargisī chitvan meñ hai
vo bhī thoḌī sī jo mīnā-e-rag-e-gardan meñ hai
allāh allāh husn roz-afzūñ kī bātin tābiyāñ
chāñd kī duniyā mirī taḳh.īl ke dāman meñ hai
chashm-e-bīnā DhūñDne vaale kahāñ tak justujū
parda uThe raushnī har dīda-e-sozan meñ hai
dil ke TukḌe uḌ ga.e hoñ yā jigar kī dhajjiyāñ
kuchh nahīñ suntā jo apnī lazzat-e-shevan meñ hai
aah bīmār-e-mohabbat uf asīr-e-ārzū
khich rahī hai ruuh lekin haath abhī gardan meñ hai
ye bahāreñ ye phuvāreñ aur ye meñdhī 'nushūr'
haaye vo kāfir javānī jo kisī sāvan meñ hai
KHub hai saqi jo teri nargisi chitwan mein hai
wo bhi thoDi si jo mina-e-rag-e-gardan mein hai
allah allah husn roz-afzun ki baatin tabiyan
chand ki duniya meri taKHil ke daman mein hai
chashm-e-bina DhunDne wale kahan tak justuju
parda uThe raushni har dida-e-sozan mein hai
dil ke TukDe uD gae hon ya jigar ki dhajjiyan
kuchh nahin sunta jo apni lazzat-e-shewan mein hai
aah bimar-e-mohabbat uf asir-e-arzu
khich rahi hai ruh lekin hath abhi gardan mein hai
ye bahaaren ye phuwaren aur ye meindhi 'nushur'
haye wo kafir jawani jo kisi sawan mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.