o dil-e-ruswa use ruswa kiya
o dil-e-rusvā use rusvā kiyā
kyā kiyā kambaḳht tū ne kyā kiyā
mujh ko tum ko ġhair ne rusvā kiyā
kah bhī do achchhā kiyā achchhā kiyā
sañg-e-dar sar se judā hotā nahii.
sajda kar ke dard-e-sar paidā kiyā
vaah re dast-e-junoñ zor-e-jinnoñ
chaak tum ne dāman-e-sahrā kiyā
mai-parastī kī ḳhudā ko chhoḌ kar
diin bhī nazr-e-mai-o-mīnā kiyā
hashr ke din bhī vahī haiñ shoḳhiyāñ
aaj bhī to va.ada-e-fardā kiyā
kūdtā kaun aag meñ ai barq-e-tūr
meñ tamāsha duur se dekhā kiyā
ai shab-e-furqat na aa.ī tujh ko sharm
ġhair ke ghar jā ke muñh kaalā kiyā
qabr par ubhrā ye jaate hī tire
naqsh-e-pā ne hashr hī barpā kiyā
us ko bhī husn-e-āfrīn rusvā kare
ai hasīñ jis ne tujhe rusvā kiyā
thā hinā se saaz paisā dil ko bhī
aap ne insāf to achchhā kiyā
qabr meñ hai aaj o parda-nashīñ
le tire rusvā ne bhī pardā kiyā
tauba kar ke aaj phir pī lī 'riyāz'
kyā kiyā kambaḳht tū ne kyā kiyā
o dil-e-ruswa use ruswa kiya
kya kiya kambaKHt tu ne kya kiya
mujh ko tum ko ghair ne ruswa kiya
kah bhi do achchha kiya achchha kiya
sang-e-dar sar se juda hota nahi
sajda kar ke dard-e-sar paida kiya
wah re dast-e-junon zor-e-jinnon
chaak tum ne daman-e-sahra kiya
mai-parasti ki KHuda ko chhoD kar
din bhi nazr-e-mai-o-mina kiya
hashr ke din bhi wahi hain shoKHiyan
aaj bhi to wada-e-farda kiya
kudta kaun aag mein ai barq-e-tur
mein tamasha dur se dekha kiya
ai shab-e-furqat na aai tujh ko sharm
ghair ke ghar ja ke munh kala kiya
qabr par ubhra ye jate hi tere
naqsh-e-pa ne hashr hi barpa kiya
us ko bhi husn-e-afrin ruswa kare
ai hasin jis ne tujhe ruswa kiya
tha hina se saz paisa dil ko bhi
aap ne insaf to achchha kiya
qabr mein hai aaj o parda-nashin
le tere ruswa ne bhi parda kiya
tauba kar ke aaj phir pi li 'riyaz'
kya kiya kambaKHt tu ne kya kiya
- Book : Riyaaz-e-Rizwan (Pg. 178)
- Author : Riyaz Khairabadi
- Publication : Kitaab Manzil, Lahore (1961)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.