panw phir wahshat ne phailae bayaban dekh kar
paañv phir vahshat ne phailā.e bayābāñ dekh kar
talve khujlāne lage ḳhār-e-muġhīlāñ dekh kar
sāne-e-qudrat ne kī vo ḳhaak par sūrat garī
rah ga.e hairāñ farishte husn-e-insāñ dekh kar
har bagūle par huā vahshat meñ mahmil kā gumāñ
bol uThā majnūñ anā laila bayābāñ dekh kar
aa.e the turbat mirī pāmāl karne ke liye
ro diye vo kyuuñ sū-e-gor-e-garībāñ dekh kar
panw phir wahshat ne phailae bayaban dekh kar
talwe khujlane lage KHar-e-mughilan dekh kar
sane-e-qudrat ne ki wo KHak par surat gari
rah gae hairan farishte husn-e-insan dekh kar
har bagule par hua wahshat mein mahmil ka guman
bol uTha majnun ana laila bayaban dekh kar
aae the turbat meri pamal karne ke liye
ro diye wo kyun su-e-gor-e-gariban dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.