paun na dur dur bhi apnī KHabar ko main
pāūñ na duur duur bhī apnī ḳhabar ko maiñ
phir DhūñDhtā huuñ aap kī pahlī nazar ko maiñ
ik ik nigah meñ saiñkaḌoñ tīroñ ke vaar haiñ
rakkhūñ kahāñ sambhāl ke qalb-o-jigar ko meñ
aise ga.e ki zindagī kī shaam ho ga.ī
lā.ūñ kahāñ se DhūñD ke guzrī sahr ko maiñ
muddat meñ jalva-gar hue bālā-e-bām vo
us chāñd ko maiñ dekhūñ ki dekhūñ qamar ko maiñ
'hairat' nigāh-e-yār ne na jaane kyā kiyā
hairāñ huuñ ab kahāñ rahūñ jā۔ūñ kidhar ko maiñ
paun na dur dur bhi apnī KHabar ko main
phir DhunDhta hun aap ki pahli nazar ko main
ek ek nigah mein sainkaDon tiron ke war hain
rakkhun kahan sambhaal ke qalb-o-jigar ko mein
aise gae ki zindagi ki sham ho gai
laun kahan se DhunD ke guzri sahr ko main
muddat mein jalwa-gar hue baala-e-baam wo
us chand ko main dekhun ki dekhun qamar ko main
'hairat' nigah-e-yar ne na jaane kya kiya
hairan hun ab kahan rahun ja۔un kidhar ko main
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 129)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.