paDh ke KHat yar ka kal maine banaya tawiz
paDh ke KHat yar ka kal maine banaya tawiz
Shah Turab Ali Qalandar
MORE BYShah Turab Ali Qalandar
paḌh ke ḳhat yaar kā kal maiñ ne banāyā ta.avīz
is se behtar koī al-hubb kā na paayā ta.avīz
garm-joshī se kisī din na milā mujh se vo
aag meñ jis ke liye maiñ ne jalāyā ta.avīz
shāyad us but kā dil-e-sañg kahīñ paanī ho
is liye bahr meñ likh likh ke bahāyā ta.avīz
ik amal bhī na chalā us pe mirā kyā kahiye
garche sau tarh mohabbat kā likhāyā ta.avīz
talkHī-e-koh-kunī se jo muvāshīrīñ ne
us kī turbat pe bhī mar mar kā lagāyā ta.avīz
chashm-e-baddūr nazar merī to hai us pe lagī
taar muqayyash se kyuuñ tū ne ḳhudāyā ta.avīz
haath se dil to liye kitne zabardastoñ ke
band-o-bast apne kā tū ne jo dikhāyā ta.avīz
bad-gumāñ mujh se ziyāda vo huā kuchh na banā
paas mere kahīñ us ko nazar aayā ta.avīz
le gayā toḌ mere baazū se jhaT-paT us ko
phir dikhāyā na mujhe aisā churāyā ta.avīz
na chalā merā kahā us se maiñ kahtā hī rahā
jaan merī koī letā hai parāyā ta.avīz
yaar merā na kabhī mujh se ḳhafā hove 'turāb'
mujh ko batlā de koī aisī duā yā ta.avīz
paDh ke KHat yar ka kal main ne banaya tawiz
is se behtar koi al-hubb ka na paya tawiz
garm-joshi se kisi din na mila mujh se wo
aag mein jis ke liye main ne jalaya tawiz
shayad us but ka dil-e-sang kahin pani ho
is liye bahr mein likh likh ke bahaya tawiz
ek amal bhi na chala us pe mera kya kahiye
garche sau tarh mohabbat ka likhaya tawiz
talkHi-e-koh-kuni se jo muwashirin ne
us ki turbat pe bhi mar mar ka lagaya tawiz
chashm-e-baddur nazar meri to hai us pe lagi
tar muqayyash se kyun tu ne KHudaya tawiz
hath se dil to liye kitne zabardaston ke
band-o-bast apne ka tu ne jo dikhaya tawiz
bad-guman mujh se ziyaada wo hua kuchh na bana
pas mere kahin us ko nazar aaya tawiz
le gaya toD mere bazu se jhaT-paT us ko
phir dikhaya na mujhe aisa churaya tawiz
na chala mera kaha us se main kahta hi raha
jaan meri koi leta hai paraya tawiz
yar merā na kabhi mujh se KHafa howe 'turab'
mujh ko batla de koi aisi dua ya tawiz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.