paDte hi teri ek chashm-e-karam kya arz karen kya bhul gae
paDte hi teri ek chashm-e-karam kya arz karen kya bhul gae
Abdul Hadi Kavish
MORE BYAbdul Hadi Kavish
paḌte hī tirī ik chashm-e-karam kyā arz kareñ kyā bhuul ga.e
apnā bhī hameñ ab hosh nahīñ ham arz-e-tamannā bhuul ga.e
ai chashm-e-fusūñ-gar kyā kahnā sar chaḌh ke tirā jaadū bole
qadmoñ pe tire ab ham haiñ paḌe ka.aba kā vo jaanā bhuul ga.e
dhoka thā ibādat aur taqvā ik khel thī ye dīn-o-duniyā
ab nām-e-ḳhudā bhī yaad nahīñ sab jān-e-tamannā bhuul ga.e
kūche meñ tire ai jān-e-ġhazal ye raaz khulā ham par aa kar
ġham bhī to ināyat hai terī ham ġham kā mudāvā bhuul ga.e
uTh ke añdherī rātoñ meñ ham tujh ko pukārā karte haiñ
har chiiz se nafrat ham ko huī ham jannat-e-fardā bhuul ga.e
'kāvish' pe vo Daalī tū ne nazar TuuTā vo fareb-e-hastī bhī
bas terī kahānī yaad rahī hastī kā fasāna bhuul ga.e
paDte hi teri ek chashm-e-karam kya arz karen kya bhul gae
apna bhi hamein ab hosh nahin hum arz-e-tamanna bhul gae
ai chashm-e-fusun-gar kya kahna sar chaDh ke tera jadu bole
qadmon pe tere ab hum hain paDe kaba ka wo jaana bhul gae
dhoka tha ibaadat aur taqwa ek khel thi ye din-o-duniya
ab nam-e-KHuda bhi yaad nahin sab jaan-e-tamanna bhul gae
kuche mein tere ai jaan-e-ghazal ye raaz khula hum par aa kar
gham bhi to inayat hai teri hum gham ka mudawa bhul gae
uTh ke andheri raaton mein hum tujh ko pukara karte hain
har chiz se nafrat hum ko hui hum jannat-e-farda bhul gae
'kawish' pe wo Dali tu ne nazar TuTa wo fareb-e-hasti bhi
bas teri kahani yaad rahi hasti ka fasana bhul gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.