pahuncha hai jab se ishq ka mujhko salam-e-KHas
pahuncha hai jab se ishq ka mujhko salam-e-KHas
Khwaja Ruknuddin Ishq
MORE BYKhwaja Ruknuddin Ishq
pahuñchā hai jab se ishq kā mujh ko salām-e-ḳhās
dil ke nagīñ pe tab se khudāyā hai nām-e-ḳhās
phūle nahīñ samāte ho jaama meñ misl-e-gul
pahuñchā hai tum ko aaj kaso kā payām-e-ḳhās
mai-ḳhāna meñ ḳhudī ko nahīñ daḳhl shaiḳh-jī
be-ḳhudī huā hai jin ne piyā hai vo jām-e-ḳhās
phir gird us ke zauq se ai murġh-e-jāñ tu sun
phir qasd baiThne kā na kiijo hai nām-e-ḳhās
kar qatl shauq se maiñ tasadduq huā huā
sarkār nahīñ hai fikr jo huā intizār-e-ḳhās
sab phāñsiyoñ se kar mujhe āzād ai ḳhudā
tā-roz-e-hasr huuñ meñ giraftār-e-dām-e-ḳhās
is par nigāh lutf kī yā-shāh hai zarūr
mash.hūr hai jahāñ ye meiñ terā ġhulām-e-ḳhās
hujjāb-e-bārgāh ko ye hukm ho rahe
māne.a na hoveñ mujh ko jo huā ehtimām-e-ḳhās
mānind-e-kohkan ke vo sar chiir mar gayā
jin ne sunā hai 'ishq' vo shīrīñ klām-e-ḳhās
pahuncha hai jab se ishq ka mujh ko salam-e-KHas
dil ke nagin pe tab se khudaya hai nam-e-KHas
phule nahin samate ho jama mein misl-e-gul
pahuncha hai tum ko aaj kaso ka payam-e-KHas
mai-KHana mein KHudi ko nahin daKHl shaiKH-ji
be-KHudi hua hai jin ne piya hai wo jam-e-KHas
phir gird us ke zauq se ai murgh-e-jaan tu sun
phir qasd baiThne ka na kijo hai nam-e-KHas
kar qatl shauq se main tasadduq hua hua
sarkar nahin hai fikr jo hua intizar-e-KHas
sab phansiyon se kar mujhe aazad ai KHuda
ta-roz-e-hasr hun mein giraftar-e-dam-e-KHas
is par nigah lutf ki ya-shah hai zarur
mashhur hai jahan ye mein tera ghulam-e-KHas
hujjab-e-bargah ko ye hukm ho rahe
manea na howen mujh ko jo hua ehtimam-e-KHas
manind-e-kohkan ke wo sar chir mar gaya
jin ne suna hai 'ishq' wo shirin klam-e-KHas
- Book : Kulliyat-e-Ruknuddin Ishq aur Unki Hayat aur Shaeri (Pg. 118)
- Author : Quraisha Husain
- Publication : The Azad Press, Patna (1979)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.