parda-e-husn mein chhupa hun main
parda-e-husn meñ chhupā huuñ maiñ
apnī sūrat pe mubtalā huuñ meñ
aapī 'āshiq huuñ aap hī ma.ashūq
aapī dard aap hī davā huuñ maiñ
aapī huuñ qais-e-kHasta-o-dil-resh
aapī laila-e-dil-rubā huuñ maiñ
hai jamāl-o-jalāl merī shaan
garche donoñ se māvarā huuñ maiñ
koī mere sivā nahīñ maujūd
'arsh huuñ farsh huuñ samā huuñ maiñ
mujh se sab māñgte haiñ apnī murād
sab kā maqsūd-o-mudda'ā huuñ maiñ
huuñ barī vahm-o-fahm se tere
kyā batā.ūñ 'turāb' kyā huuñ maiñ
parda-e-husn mein chhupa hun main
apni surat pe mubtala hun mein
aapi 'ashiq hun aap hi mashuq
aapi dard aap hi dawa hun main
aapi hun qais-e-kHasta-o-dil-resh
aapi laila-e-dil-ruba hun main
hai jamal-o-jalal meri shan
garche donon se mawara hun main
koi mere siwa nahin maujud
'arsh hun farsh hun sama hun main
mujh se sab mangte hain apni murad
sab ka maqsud-o-mudda'a hun main
hun bari wahm-o-fahm se tere
kya bataun 'turab' kya hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.