pasand aaya to le lo dil hamara
pasand aayā to le lo dil hamārā
magar dil phir bhī kis qābil hamārā
koī hai jo na ho hāmil hamārā
magar milnā huā mushkil hamārā
nahīñ hotā ki baḌh kar haath rakh deñ
taḌapnā dekhte haiñ dil hamārā
jamāl un kā hai āb-e-zindagānī
magar jiinā kiyā mushkil hamārā
chhurī bhī tez zālim ne na kar lī
baḌā be-rahm hai qātil hamārā
tamavvuj bahr-e-ġham kā dekhte ho
habāb-e-dil hai dariyā-dil hamārā
ye garmī ātish-e-dozaḳh meñ vaa.iz
koī naala huā shāmil hamārā
chalā saffāk ye jī meñ na aa.ī
taḌaptā hai abhī bismil hamārā
na aanā ham tumhārā dekh leñge
jo niklā jazb-e-dil kāmil hamārā
dil-e-gardūñ se le kar tā-dil-e-dost
gayā naala ka.ī manzil hamārā
tāmul hai jo paas aane meñ un ko
vahāñ jaanā bhī lā-hāsil hamārā
dam-e-naz.a aane kā va.ada to dekho
ki ab marnā bhī ho mushkil hamārā
agar qaabū na thā dil par burā thā
vahāñ jaanā sar-e-mahfil hamārā
bhalā vo dushman-e-jāñ dost hogā
huā pindār ab bātil hamārā
ye hālat hai to shāyad rahm aa.e
koī us ko dikhā de dil hamārā
muhīt-e-jalva-e-be-rañg hai dil
kahīñ paidā nahīñ sāhil hamārā
unhīñ kī chheḌ thī is rañg meñ bhī
ḳhayāl-e-ġhair thā bātil hamārā
talab un kī phireñ ham gird apne
junūn-e-ishq thā kāmil hamārā
mazā har aan meñ hai shān-e-nau kā
magar jab dil na ho ġhāfil hamārā
matā-e-garmī-e-bāzār-e-jāñ hai
vo barq-e-ḳhirman-e-hāsil hamārā
takallum ham se yāre-e-be-dahan kā
na kyuuñ ho mudda.ī qaa.el hamārā
kabhī ham ko na DhūñDhā tū ne ai qais
dil-e-har-zarra thā mahmil hamārā
muhīt-e-rañg nairañg-e-fanā haiñ
jamāl-e-dost hai sāhil hamārā
na jaanā kuchh tarāz-e-ganj-e-asrār
amānat-dār thā jāhil hamārā
vo kaash itnā qayāmat meñ to pūchheñ
kahāñ hai 'āsī'-e-be-dil hamārā
pasand aaya to le lo dil hamara
magar dil phir bhi kis qabil hamara
koi hai jo na ho hamil hamara
magar milna hua mushkil hamara
nahin hota ki baDh kar hath rakh den
taDapna dekhte hain dil hamara
jamal un ka hai aab-e-zindagani
magar jina kiya mushkil hamara
chhuri bhi tez zalim ne na kar li
baDa be-rahm hai qatil hamara
tamawwuj bahr-e-gham ka dekhte ho
habab-e-dil hai dariya-dil hamara
ye garmi aatish-e-dozaKH mein waiz
koi nala hua shamil hamara
chala saffak ye ji mein na aai
taDapta hai abhi bismil hamara
na aana hum tumhaara dekh lenge
jo nikla jazb-e-dil kaamil hamara
dil-e-gardun se le kar ta-dil-e-dost
gaya nala kai manzil hamara
tamul hai jo pas aane mein un ko
wahan jaana bhi la-hasil hamara
dam-e-naza aane ka wada to dekho
ki ab marna bhi ho mushkil hamara
agar qabu na tha dil par bura tha
wahan jaana sar-e-mahfil hamara
bhala wo dushman-e-jaan dost hoga
hua pindar ab baatil hamara
ye haalat hai to shayad rahm aae
koi us ko dikha de dil hamara
muhit-e-jalwa-e-be-rang hai dil
kahin paida nahin sahil hamara
unhin ki chheD thī is rang mein bhi
KHayal-e-ghair tha baatil hamara
talab un ki phiren hum gird apne
junun-e-ishq tha kaamil hamara
maza har aan mein hai shan-e-nau ka
magar jab dil na ho ghafil hamara
mata-e-garmi-e-bazar-e-jaan hai
wo barq-e-KHirman-e-hasil hamara
takallum hum se yare-e-be-dahan ka
na kyun ho muddai qael hamara
kabhī hum ko na DhunDha tu ne ai qais
dil-e-har-zarra tha mahmil hamara
muhit-e-rang nairang-e-fana hain
jamal-e-dost hai sahil hamara
na jaana kuchh taraaz-e-ganj-e-asrar
amanat-dar tha jahil hamara
wo kash itna qayamat mein to puchhen
kahan hai 'asi'-e-be-dil hamara
- Book : Diwan-e-aasi (Pg. 20)
- Author : Aasi Ghazipuri
- Publication : Subhanallah Azeem Gorakhpuri (1938)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.