phir wo rashk-e-gul yaad aaya
phir vo rashk-e-gul yaad aayā
phir vo manzūr-e-nazar yaad aayā
haif us dil pe hai jis ko ai dost
juz tire koī agar yaad aayā
us ke sahne ko bhī ham haiñ tayyār
kuchh sitam aur agar yaad aayā
ka.aba yā dair ho shaidā ko tere
har jagah terā hī dar yaad aayā
kuchh bhī yaad ab dil-e-kāmil ko nahīñ
tū jo yaad aayā agar yaad aayā
phir wo rashk-e-gul yaad aaya
phir wo manzur-e-nazar yaad aaya
haif us dil pe hai jis ko ai dost
juz tere koi agar yaad aaya
us ke sahne ko bhi hum hain tayyar
kuchh sitam aur agar yaad aaya
kaba ya dair ho shaida ko tere
har jagah tera hi dar yaad aaya
kuchh bhi yaad ab dil-e-kaamil ko nahin
tu jo yaad aaya agar yaad aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.