silsila TuTe na saqi hosh uD jaane ke baad
silsila TuTe na saqi hosh uD jaane ke baad
Pir Naseeruddin Naseer
MORE BYPir Naseeruddin Naseer
silsila TuuTe na saaqī hosh uḌ jaane ke ba.ad
mujh ko miltā hī rahe paimāna paimāne ke ba.ad
kho diyā duniyā meñ jo kuchh thā tujhe paane ke ba.ad
jaan se jaanā paḌā ham ko tire aane ke ba.ad
tū hī thā vo sham.a jis kī raushnī thī har taraf
rañg mahfil meñ kahāñ ab tere uTh jaane ke ba.ad
jaao baiTho chain se maiñ kyā kahūñ tum kyā suno
ab pashemānī se kyā hāsil sitam Dhāne ke ba.ad
us kā kyā kahnā hai zāhid ke Thikāne haiñ bahut
ye kisī masjid meñ jā baiThegā mai-ḳhāne ke ba.ad
sham.a mahfil roye yā hañs kar guzāre sub.h tak
kaun ab jalne yahāñ aa.egā parvāne ke ba.ad
husn ruḳh kī ik jhalak ne kar diye ausān gum
hosh aayā to magar un ke chale jaane ke ba.ad
sach hai koī bhī sharīk-dard-o-ġham hotā nahīñ
ho ga.e ahbāb ruḳhsat mujh ko samjhāne ke ba.ad
ab to kahte ho ki jā merī nazar se duur ho
tum manāne aaoge mujh ko mire jaane ke ba.ad
tā.ir-e-dil ḳhaal to dekhā ḳham-e-gesū bhī dekh
daam bhī tujh ko nazar aa jā.egā daane ke ba.ad
vahshat-e-dil kī badaulat ham chale aa.e yahāñ
dekhiye ab kaun sī manzil hai vīrāne ke ba.ad
kaun rotā hai kisī kī ḳhasta-hālī par 'nasīr'
zer-e-lab hañstī hai duniyā mere luT jaane ke ba.ad
silsila TuTe na saqi hosh uD jaane ke baad
mujh ko milta hi rahe paimana paimane ke baad
kho diya duniya mein jo kuchh tha tujhe pane ke baad
jaan se jaana paDa hum ko tere aane ke baad
tu hi tha wo shama jis ki raushni thi har taraf
rang mahfil mein kahan ab tere uTh jaane ke baad
jao baiTho chain se main kya kahun tum kya suno
ab pashemani se kya hasil sitam Dhane ke baad
us ka kya kahna hai zahid ke Thikane hain bahut
ye kisi masjid mein ja baiThega mai-KHane ke baad
shama mahfil roye ya hans kar guzare subh tak
kaun ab jalne yahan aaega parwane ke baad
husn ruKH ki ek jhalak ne kar diye ausan gum
hosh aaya to magar un ke chale jaane ke baad
sach hai koi bhi sharik-dard-o-gham hota nahin
ho gae ahbab ruKHsat mujh ko samjhane ke baad
ab to kahte ho ki ja meri nazar se dur ho
tum manane aaoge mujh ko mere jaane ke baad
tair-e-dil KHal to dekha KHam-e-gesu bhi dekh
dam bhi tujh ko nazar aa jaega dane ke baad
wahshat-e-dil ki badaulat hum chale aae yahan
dekhiye ab kaun si manzil hai virane ke baad
kaun rota hai kisi ki KHasta-haali par 'nasir'
zer-e-lab hansti hai duniya mere luT jaane ke baad
- Book : Kulliyat-e-Naseer Gilani (Pg. 672)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.