un se har waqt meri aankh laDi rahti hai
un se har waqt meri aankh laDi rahti hai
Pir Naseeruddin Naseer
MORE BYPir Naseeruddin Naseer
un se har vaqt mirī aañkh laḌī rahtī hai
kyā laḌākā hai ki laḌne pe aḌī rahtī hai
dekh kar vaqt ke maqtal meñ mirī shān-e-varūd
Dar meñ qātil hī nahīñ maut khaḌī rahtī hai
terī tasvīr mire dil meñ nagīne kī tarah
jagmagātī hai chamaktī hai juḌī rahtī hai
log sach kahte haiñ pāmāl-e-mohabbat mujh ko
merī chāhat tire qadmoñ meñ paḌī rahtī hai
āfateñ laakh hoñ dekhā na kabhī chehra-e-yās
mujh ko allāh se ummīd baḌī rahtī hai
jo kabhī ḳhūn-e-shahīdāñ se hinā-band rahe
ab inhīñ phuul se hāthoñ meñ chhaḌī rahtī hai
yuuñ na itrā ki javānī bhī hai aanī jaanī
chāñdnī chāñd kī do chaar ghaḌī rahtī hai
girya-e-chashm kā ulfat meñ ye 'ālam hai 'nasīr'
koī mausam bhī ho sāvan kī jhaḌī rahtī hai
un se har waqt meri aankh laDi rahti hai
kya laDaka hai ki laDne pe aDi rahti hai
dekh kar waqt ke maqtal mein meri shan-e-warud
Dar mein qatil hi nahin maut khaDi rahti hai
teri taswir mere dil mein nagine ki tarah
jagmagati hai chamakti hai juDi rahti hai
log sach kahte hain pamal-e-mohabbat mujh ko
meri chahat tere qadmon mein paDi rahti hai
aafaten lakh hon dekha na kabhi chehra-e-yas
mujh ko allah se ummid baDi rahti hai
jo kabhi KHun-e-shahidan se hina-band rahe
ab inhin phul se hathon mein chhaDi rahti hai
yun na itra ki jawani bhi hai aani jaani
chandni chand ki do chaar ghaDi rahti hai
girya-e-chashm ka ulfat mein ye 'alam hai 'nasir'
koi mausam bhi ho sawan ki jhaDi rahti hai
- Book : Kulliyat-e-Naseer Gilani (Pg. 733)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.