kis tasawwur mein wo kho jate hain uThte baiThte
kis tasawwur mein wo kho jate hain uThte baiThte
Pir Naseeruddin Naseer
MORE BYPir Naseeruddin Naseer
kis tasavvur meñ vo kho jaate haiñ uThte baiThte
apne jī meñ aap sharmāte haiñ uThte baiThte
paas rah kar jo sitam Dhāte haiñ uThte baiThte
jab chale jaa.eñ to yaad aate haiñ uThte baiThte
yuuñ ham apne dil ko bahlāte haiñ uThte baiThte
kū-e-jānāñ tak pahuñch jaate haiñ uThte baiThte
ab to vo rahne lage har vaqt mujh se bad-gumāñ
ho burā un kā jo bhaḌkāte haiñ uThte baiThte
fasl-e-gul kyā aa.ī hai dīvār-e-zindāñ se asiir
rāt-din sar apnā Takrāte haiñ uThte baiThte
hai ġhanīmat chand lamhoñ ke liye mil baiThnā
dost duniyā meñ bichhaḌ jaate haiñ uThte baiThte
kis ko yārā-e-sukHan kis ko majāl-e-guftugū
aap jab ḳhanjar hī lahrāte haiñ uThte baiThte
mere dil kī uljhanoñ kā bhī kabhī koī ḳhayāl
zulf to vo apnī suljhāte haiñ uThte baiThte
chashm-e-haq āgāh meñ kyā qadr-o-qīmat un kī ho
chand sikkoñ par jo itrāte haiñ uThte baiThte
ā.īna hai aur vo haiñ aur merā dil 'nasīr'
un kī ban aa.ī hai taḌpāte haiñ uThte baiThte
kis tasawwur mein wo kho jate hain uThte baiThte
apne ji mein aap sharmate hain uThte baiThte
pas rah kar jo sitam Dhate hain uThte baiThte
jab chale jaen to yaad aate hain uThte baiThte
yun hum apne dil ko bahlate hain uThte baiThte
ku-e-jaanan tak pahunch jate hain uThte baiThte
ab to wo rahne lage har waqt mujh se bad-guman
ho bura un ka jo bhaDkate hain uThte baiThte
fasl-e-gul kya aai hai diwar-e-zindan se asir
raat-din sar apna Takraate hain uThte baiThte
hai ghanimat chand lamhon ke liye mil baiThna
dost duniya mein bichhaD jate hain uThte baiThte
kis ko yara-e-sukHan kis ko majal-e-guftugu
aap jab KHanjar hi lahraate hain uThte baiThte
mere dil ki uljhanon ka bhi kabhi koi KHayal
zulf to wo apni suljhate hain uThte baiThte
chashm-e-haq aagah mein kya qadr-o-qimat un ki ho
chand sikkon par jo itraate hain uThte baiThte
aaina hai aur wo hain aur mera dil 'nasir'
un ki ban aai hai taDpate hain uThte baiThte
- Book : Kulliyat-e-Naseer Gilani (Pg. 747)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.