kisi kafir ko na din-dar ko apna karna
kisī kāfir ko na dīñ-dār ko apnā karnā
ek lamhe ke liye yaar ko apnā karnā
ishq meñ qurb kā armān bhī kyā armāñ hai
saa.e ko chhoḌnā dīvār ko apnā karnā
hameñ bhūlī nahīñ ab tak vafā kī chāleñ
yaad hai us but-e-'ayyār ko apnā karnā
kirchiyāñ chunñā sadā apne anā paikar kī
apne TuuTe hue pindār ko apnā karnā
naaz be-jā na uThānā kisī ahl-e-zar ke
kisī muflis ke dil-e-zār ko apnā karnā
us kī bāñhoñ ke sahāre kī tamannā jaise
dhuup meñ sāya-e-dīvār ko apnā karnā
tū hī vo yūsuf-e-daurāñ hai ki aatā hai jise
ik jhalak meñ bhare bāzār ko apnā karnā
apne ho kar bhī ye apne nahīñ bante apne
ho sake to dil-e-aġhyār ko apnā karnā
vo to ik baat thī ham jis pe aḌe baiThe haiñ
varna aatā hai hameñ yaar ko apnā karnā
dil ke badle meñ jo dil māñge to phir bismillāh
jins-e-ulfat ke ḳharīdār ko apnā karnā
pāk-bāzoñ kā bahā le gayā zo.am-e-taqva
ye terā mujh se gunahgār kā apnā karnā
laakh andhoñ kī ḳhajālat se kahīñ behtar hai
sirf ek dīda-e-bedār ko apnā karnā
ġham-e-furqat meñ taḌapnā hai muqaddar apnā
apnī qismat meñ kahāñ yaar ko apnā karnā
roz-marra kā ye hai khel 'nasīr' un ke liye
ek do bātoñ meñ do chaar ko apnā karnā
kisi kafir ko na din-dar ko apna karna
ek lamhe ke liye yar ko apna karna
ishq mein qurb ka arman bhi kya arman hai
sae ko chhoDna diwar ko apna karna
hamein bhuli nahin ab tak wafa ki chaalen
yaad hai us but-e-'ayyar ko apna karna
kirchiyan chunna sada apne ana paikar ki
apne TuTe hue pindar ko apna karna
naz be-ja na uThana kisi ahl-e-zar ke
kisi muflis ke dil-e-zar ko apna karna
us ki banhon ke sahaare ki tamanna jaise
dhup mein saya-e-diwar ko apna karna
tu hi wo yusuf-e-dauran hai ki aata hai jise
ek jhalak mein bhare bazar ko apna karna
apne ho kar bhi ye apne nahin bante apne
ho sake to dil-e-aghyar ko apna karna
wo to ek baat thi hum jis pe aDe baiThe hain
warna aata hai hamein yar ko apna karna
dil ke badle mein jo dil mange to phir bismillah
jins-e-ulfat ke KHaridar ko apna karna
pak-bazon ka baha le gaya zoam-e-taqwa
ye tera mujh se gunahgar ka apna karna
lakh andhon ki KHajalat se kahin behtar hai
sirf ek dida-e-bedar ko apna karna
gham-e-furqat mein taDapna hai muqaddar apna
apni qismat mein kahan yar ko apna karna
roz-marra ka ye hai khel 'nasir' un ke liye
ek do baaton mein do chaar ko apna karna
- Book : Kulliyat-e-Naseer Gilani (Pg. 792)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.