wo din bhi hai aane wala
vo din bhī hai aane vaalā
taḌpe gā taḌpāne vaalā
phir hai kisī par aane vaalā
dil hai qiyāmat Dhāne vaalā
dekh rahā hai ġhaur se un ko
aane vaalā jaane vaalā
maiñ na haTūñgā dar se tere
bahkā.e bahkāne vaalā
bazm meñ un kī maiñ hī maiñ huuñ
choT jigar par khāne vaalā
saañs kā rishta TuuT rahā hai
kab aa.egā aane vaalā
un kī balā se un ko kyā ġham
miT jaa.e miT jaane vaalā
āñkhoñ se dil meñ dar aayā
vo kam-go sharmāne vaalā
bhuul kar aayā phir na udhar ko
baat banā kar jaane vaalā
kaash 'nasīr' koī mil jaatā
raah par us ko laane vaalā
wo din bhi hai aane wala
taDpe ga taDpane wala
phir hai kisi par aane wala
dil hai qiyamat Dhane wala
dekh raha hai ghaur se un ko
aane wala jaane wala
main na haTunga dar se tere
bahkae bahkane wala
bazm mein un ki main hi main hun
choT jigar par khane wala
sans ka rishta TuT raha hai
kab aaega aane wala
un ki bala se un ko kya gham
miT jae miT jaane wala
aankhon se dil mein dar aaya
wo kam-go sharmane wala
bhul kar aaya phir na udhar ko
baat bana kar jaane wala
kash 'nasir' koi mil jata
rah par us ko lane wala
- Book : Kulliyat-e-Naseer Gilani (Pg. 879)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.