hum kisi ka gila nahin karte
ham kisī kā gilā nahīñ karte
na mileñ jo milā nahīñ karte
chand kaliyāñ shagufta-qismat haiñ
saare ġhunche khilā nahīñ karte
jin ko dast-e-junūñ ne chaak kiyā
vo garebāñ silā nahīñ karte
aap mohtāt hoñ zamāne meñ
har kisī se milā nahīñ karte
jo mohabbat meñ sañg-e-mīl baneñ
vo jagah se hilā nahīñ karte
naaz hai un ko bevafā.ī par
ḳhatm ye silsila nahīñ karte
raste rahte haiñ bhīgī rātoñ meñ
zaḳhm dil ke silā nahīñ karte
un se bas ik 'nasīr' shikvā hai
ham se vo kyuuñ milā nahīñ karte
hum kisi ka gila nahin karte
na milen jo mila nahin karte
chand kaliyan shagufta-qismat hain
sare ghunche khila nahin karte
jin ko dast-e-junun ne chaak kiya
wo gareban sila nahin karte
aap mohtat hon zamane mein
har kisi se mila nahin karte
jo mohabbat mein sang-e-mil banen
wo jagah se hila nahin karte
naz hai un ko bewafai par
KHatm ye silsila nahin karte
raste rahte hain bhigi raaton mein
zaKHm dil ke sila nahin karte
un se bas ek 'nasir' shikwa hai
hum se wo kyun mila nahin karte
- Book : Kulliyat-e-Naseer Gilani (Pg. 687)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.