log nalan hain jafa se teri
log nālāñ haiñ jafā se terī
hashr barpā hai adā se terī
chheḌ hai zulf-e-rasā se terī
baat bigḌī hai sabā se terī
koī jiitā ho tujhe us se ġharaz
koī martā ho balā se terī
sāqī-e-bazm pilā der na kar
minnateñ karte haiñ pyāse terī
baat bantī hai karam se tere
kaam chaltā hai 'atā se terī
ham ne luTte hue ghar dekhe haiñ
ek saada sī adā se terī
hausla hai abhī ġham sahne kā
abhī zinda haiñ du'ā se terī
phir sahī hashr ke din kar leñge
baat karnī hai ḳhudā se terī
dhuum hai sho.ala-navā.ī kī 'nasīr'
log jalte hoñ balā se terī
log nalan hain jafa se teri
hashr barpa hai ada se teri
chheD hai zulf-e-rasa se teri
baat bigDi hai saba se teri
koi jita ho tujhe us se gharaz
koi marta ho bala se teri
saqi-e-bazm pila der na kar
minnaten karte hain pyase teri
baat banti hai karam se tere
kaam chalta hai 'ata se teri
hum ne luTte hue ghar dekhe hain
ek sada si ada se teri
hausla hai abhi gham sahne ka
abhi zinda hain du'a se teri
phir sahi hashr ke din kar lenge
baat karni hai KHuda se teri
dhum hai shoala-nawai ki 'nasir'
log jalte hon bala se teri
- Book : Kulliyat-e-Naseer Gilani (Pg. 689)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.