Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

wo kya kah gae mujhko kya kahte kahte

Pir Naseeruddin Naseer

wo kya kah gae mujhko kya kahte kahte

Pir Naseeruddin Naseer

vo kyā kah ga.e mujh ko kyā kahte kahte

bhalā kah ga.e vo burā kahte kahte

jahāñ ye na ho aañkh bhar aa.e qāsid

mirī dāstān-e-vafā kahte kahte

uThā thā maiñ kuchh un se kahne ko lekin

zabāñ ruk ga.ī bārhā kahte kahte

vo sunte magar ai hujūm-e-tamannā

hamīñ kho ga.e mudda.ā kahte kahte

zamāne āġhosh meñ paḌe ham

zamāne ko nā-āshnā kahte kahte

pilā.egā saaqī piinī paḌegī

kisī din ravā nāravā kahte kahte

nigāheñ jhukīñ lab hile muskurā.e

vo chup ho ga.e jaane kyā kahte kahte

adhūrī rahī dāstān-e-mohabbat

jahāñ se koī uTh gayā kahte kahte

'nasīr' aise ash.ār un ko sunāo

vo sharmā.eñ bhī marhabā kahte kahte

wo kya kah gae mujh ko kya kahte kahte

bhala kah gae wo bura kahte kahte

jahan ye na ho aankh bhar aae qasid

meri dastan-e-wafa kahte kahte

uTha tha main kuchh un se kahne ko lekin

zaban ruk gai barha kahte kahte

wo sunte magar ai hujum-e-tamanna

hamin kho gae muddaa kahte kahte

zamane ki aaghosh mein ja paDe hum

zamane ko na-ashna kahte kahte

pilaega saqi tu pini paDegi

kisi din rawa narawa kahte kahte

nigahen jhukin lab hile muskurae

wo chup ho gae jaane kya kahte kahte

adhuri rahi dastan-e-mohabbat

jahan se koi uTh gaya kahte kahte

'nasir' aise ashaar un ko sunao

wo sharmaen bhi marhaba kahte kahte

Source :
  • Book : Kulliyat-e-Naseer Gilani (Pg. 702)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now