Sufinama

un se meri jhuThi-sachchi ki jo burai logon ne

un se merī jhūThī-sachchī jo burā.ī logoñ ne

āḳhir mujh se ruuTh ga.e vo aisī lagā.ī logoñ ne

saath diyā jhūThe logoñ ronā to is baat hai

sachche the jo un logoñ se na bhalā.ī logoñ ne

sab se hue vo sīna-ba-sīna ham se milāyā ḳhālī haath

iid ke din jo sach pūchho to iid manā.ī logoñ ne

karne lage bahkī taqrīreñ hazrat-e-vā.iz mahfil meñ

paanī meñ thoḌī milā kar kal jo pilā.ī logoñ ne

dīvāna dīvāna kah kar duniyā meñ badnām kiyā

mere junūñ ke baat na thī kuchh baat baḌhā.ī logoñ ne

marte dam tak saath rahā jo 'purnam' us se aisā sulūk

jaldī se kafnā-dafnā kar jaan chhuḌā.ī logoñ ne

un se meri jhuThi-sachchi ki jo burai logon ne

aaKHir mujh se ruTh gae wo aisi lagai logon ne

sath diya jhuThe logon ka rona to is baat ka hai

sachche the jo un logon se ki na bhalai logon ne

sab se hue wo sina-ba-sina hum se milaya KHali hath

id ke din jo sach puchho to id manai logon ne

karne lage bahki taqriren hazrat-e-waiz mahfil mein

pani mein thoDi si mila kar kal jo pilai logon ne

diwana diwana kah kar duniya mein badnam kiya

mere junun ke baat na thi kuchh baat baDhai logon ne

marte dam tak sath raha jo 'purnam' us se aisa sulūk

jaldi se kafna-dafna kar jaan chhuDai logon ne

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now