Sufinama

jo dard-e-ishq ke qabil nahin hai

jo dard-e-ishq ke qābil nahīñ hai

vo dil kahne ko dil hai dil nahīñ hai

nahīñ hai kaam nuqta vo nuqta

tere ruḳhsār jo til nahīñ hai

hamārā ho ke dam bhartā hai un

hamārā dil hamārā dil nahīñ hai

nahīñ hai jab se ai jān-e-mahfil

terī mahfil terī mahfil nahīñ hai

sitam hai mar ga.e ham jis ḳhātir

janāze meñ vahī shāmil nahīñ hai

diyā dil aap ne bhī kis ko 'purnam'

zarā bhī jis ko qadr-e-dil nahīñ hai

jo dard-e-ishq ke qabil nahin hai

wo dil kahne ko dil hai dil nahin hai

nahin hai kaam ka nuqta wo nuqta

tere ruKHsar ka jo til nahin hai

hamara ho ke dam bharta hai un ka

hamara dil hamara dil nahin hai

nahin hai jab se tu ai jaan-e-mahfil

teri mahfil teri mahfil nahin hai

sitam hai mar gae hum jis ki KHatir

janaze mein wahi shamil nahin hai

diya dil aap ne bhi kis ko 'purnam'

zara bhi jis ko qadr-e-dil nahin hai

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now