gham chheDta hai saz rag-e-jaan kabhi kabhi
ġham chheḌtā hai saaz rag-e-jāñ kabhī kabhī
hotī hai kā.ināt ġhazal-ḳhvāñ kabhī kabhī
ham ne diye haiñ 'ishq ko tevar na.e-na.e
un se bhī ho ga.e haiñ gurezāñ kabhī kabhī
ai daulat-e-sukūñ ke talab-gār dekhnā
shabnam se jal gayā hai gulistāñ kabhī kabhī
ham be-kasoñ kī bazm meñ aa.egā aur kaun
aa baiThtī hai gardish-e-daurāñ kabhī kabhī
kuchh aur baḌh ga.ī hai añdheroñ kī zindagī
yuuñ bhī huā hai jashn-e-charāġhāñ kabhī kabhī
gham chheDta hai saz rag-e-jaan kabhi kabhi
hoti hai kainat ghazal-KHwan kabhi kabhi
hum ne diye hain 'ishq ko tewar nae-nae
un se bhi ho gae hain gurezan kabhi kabhi
ai daulat-e-sukun ke talab-gar dekhna
shabnam se jal gaya hai gulistan kabhi kabhi
hum be-kason ki bazm mein aaega aur kaun
aa baiThti hai gardish-e-dauran kabhi kabhi
kuchh aur baDh gai hai andheron ki zindagi
yun bhi hua hai jashn-e-charaghan kabhi kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.