kar de dil nazuk kisi zalim ke hawale az rah-e-mohabbat
kar de dil nāzuk kisī zālim ke havāle az rāh-e-mohabbat
be-dard zarā aur mohabbat kā mazā le nikle mirī hasrat
tū apne hī mānind kisī gul pe fidā ho jis meñ na vafā ho
paḌ jaa.eñ mirī tarh tujhe jaan ke laale aa jaa.e tabī'at
is ganj-e-kHudā-dād se saa.il ko bhī dilvā ruḳhsār kā bosa
ai bādshāh husn faqīroñ kī du'ā le baḌhtī rahe daulat
ḳhud jaan se be-zār huuñ hai kis ko Darātā ḳhanjar hai dikhātā
ik jān-e-hazīñ hai ise tū le ki ḳhudā le kaT jaa.e musībat
'qābil' vo hameñ dekh ke ḳhush hotā hai kyā kyā ġhairoñ se hai kahtā
allāh use ranj-o-musībat meñ na Daale ye dam hai ġhanīmat
kar de dil nazuk kisi zalim ke hawale az rah-e-mohabbat
be-dard zara aur mohabbat ka maza le nikle meri hasrat
tu apne hi manind kisi gul pe fida ho jis mein na wafa ho
paD jaen meri tarh tujhe jaan ke lale aa jae tabi'at
is ganj-e-kHuda-dad se sail ko bhi dilwa ruKHsar ka bosa
ai baadshah husn faqiron ki du'a le baDhti rahe daulat
KHud jaan se be-zar hun hai kis ko Daraata KHanjar hai dikhata
ek jaan-e-hazin hai ise tu le ki KHuda le kaT jae musibat
'qabil' wo hamein dekh ke KHush hota hai kya kya ghairon se hai kahta
allah use ranj-o-musibat mein na Dale ye dam hai ghanimat
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 243)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.