Sufinama

dil-e-wahdat-talab farigh ze-qaid-e-jism-o-jaan hoga

Qadir Bakhsh Bedil

dil-e-wahdat-talab farigh ze-qaid-e-jism-o-jaan hoga

Qadir Bakhsh Bedil

MORE BYQadir Bakhsh Bedil

    dil-e-vahdat-talab fāriġh ze-qaid-e-jism-o-jāñ hogā

    ki baiThak āshiqāñ daa.em ba-mulk-e-lā-makāñ hogā

    uDar chhoḌ ke piñjrā jism ghar piyā chāheñ

    ki uupar arsh-e-a.azam ke tumhārā āshiyāñ hogā

    uThā us farsh-e-ḳhākī se qadam chaḌh falak uupar

    ki saat ākās himmat ke aage yak nardbāñ hogā

    jism ke bharose mat rah ism baat yuuñ mat kah

    sifat ko chhoḌ aage chal ke bechūñ be-nishāñ hogā

    talab matlūb tālib kuuñ hako kar jaan vahdat meñ

    ki bahr-e-zāt-e-be-rañgī muhīt-e-be-karāñ hogā

    joī avval soī āḳhir joī zāhir soī bātin

    ḳhudī ke tark meñ jaldī se maḳhfī sab ayaañ hogā

    doī vahm se 'bedil' terī dil gar huī fāriġh

    zuhūrā zāt-e-mutlaq jahāñ chāheñ vahāñ hogā

    dil-e-wahdat-talab farigh ze-qaid-e-jism-o-jaan hoga

    ki baiThak aashiqan daem ba-mulk-e-la-makan hoga

    uDar ja chhoD ke pinjra jism ka ghar piya chahen

    ki upar arsh-e-azam ke tumhaara aashiyan hoga

    uTha us farsh-e-KHaki se qadam chaDh ja falak upar

    ki sat aakas himmat ke aage yak nardban hoga

    jism ke bharose mat rah ism ki baat yun mat kah

    sifat ko chhoD aage chal ke bechun be-nishan hoga

    talab matlub talib kun hako kar jaan wahdat mein

    ki bahr-e-zat-e-be-rangi muhit-e-be-karan hoga

    joi awwal soi aaKHir joi zahir soi baatin

    KHudi ke tark mein jaldi se maKHfi sab ayan hoga

    doi ki wahm se 'bedil' teri dil gar hui farigh

    zuhura zat-e-mutlaq ka jahan chahen wahan hoga

    Source :
    • Book : Bedil Jo Urdu Kalam (Pg. 107)
    • Author : Faqeer Qadir Bakhsh Bedil
    • Publication : Sachchayee Ishaat Ghar, Pakistan (1997)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now