marta hun tere naz ka aaghaz hai hunuz
martā huuñ tere naaz kā āġhāz hai hunūz
ḳhūnīñ-kafan ye nāvak-andāz hai hunūz
paḌh ke uluum rasm huā jā-nashīñ faqīh
mushtāq ab talak tabk-o-tāz hai hunūz
roz-e-azal alast kā mazkūr ho chukā
sāheb-dilāñ kī kaan par āvāz hai hanūz
ḳhākī qafas agarche usī kā hai sadd-e-rāh
murġh-e-āshiyān-e-quds ba-parvāz hai hunūz
bande bahut haiñ duniyā ke zindāñ meñ valī
bābun-najāt kis ke liye baaz hai hunūz
mahfil meñ kunto-kanza kī saaqī thā ishq-e-dost
āshiq kā ruuh mast-e-mai-e-rāz hai hunūz
'bedil' ne tere nain ke tasavvur meñ jaan dī
terī hijr kā qissa-e-pardāz hai hunūz
marta hun tere naz ka aaghaz hai hunuz
KHunin-kafan ye nawak-andaz hai hunuz
paDh ke ulum rasm hua ja-nashin faqih
mushtaq ab talak tabk-o-taz hai hunuz
roz-e-azal alast ka mazkur ho chuka
saheb-dilan ki kan par aawaz hai hanuz
KHaki qafas agarche usi ka hai sadd-e-rah
murgh-e-ashiyan-e-quds ba-parwaz hai hunuz
bande bahut hain duniya ke zindan mein wali
babun-najat kis ke liye baz hai hunuz
mahfil mein kunto-kanza ki saqi tha ishq-e-dost
aashiq ka ruh mast-e-mai-e-raaz hai hunuz
'bedil' ne tere nain ke tasawwur mein jaan di
teri hijr ka qissa-e-pardaz hai hunuz
- Book : Bedil Jo Urdu Kalam (Pg. 131)
- Author : Faqeer Qadir Bakhsh Bedil
- Publication : Sachchayee Ishaat Ghar, Pakistan (1997)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.