darshan tere jamal ka mangta hun aur bas
darshan tere jamāl kā mañgtā huuñ aur bas
milne tere kī ḳhvāhish rakhtā huuñ aur bas
kalma kalām merā hai vahdat terī kī baat
aurād-e-ishq tere kā paḌhtā huuñ aur bas
nahv-e-fiqh se ḳhātir merī malūl hai
kasab-e-fanā meñ koshish karatā huuñ aur bas
kasrat ke pinjre meñ judā is bahār se
bismil sifat hijr suuñ phaḌaktā huuñ aur bas
ātish ke dard-o-ġham meñ hama-shab misāl-e-sham.a
us sub.h ke firāq meñ jaltā huuñ aur bas
merī taraf se jā ke sabā piyā ke tā.īñ
tashrīf laao vagarna maiñ martā huuñ aur bas
'bedil' na ho toñ dard ke dariyā meñ itnā ġharq
maiñ bhī tere ḳhayāl meñ rahtā huuñ aur bas
darshan tere jamal ka mangta hun aur bas
milne tere ki KHwahish rakhta hun aur bas
kalma kalam mera hai wahdat teri ki baat
aurad-e-ishq tere ka paDhta hun aur bas
nahw-e-fiqh se KHatir meri malul hai
kasab-e-fana mein koshish karata hun aur bas
kasrat ke pinjre mein juda is bahaar se
bismil sifat hijr sun phaDakta hun aur bas
aatish ke dard-o-gham mein hama-shab misal-e-shama
us subh ke firaq mein jalta hun aur bas
meri taraf se ja ke saba piya ke tain
tashrif lao wagarna main marta hun aur bas
'bedil' na ho ton dard ke dariya mein itna gharq
main bhi tere KHayal mein rahta hun aur bas
- Book : Bedil Jo Urdu Kalam (Pg. 132)
- Author : Faqeer Qadir Bakhsh Bedil
- Publication : Sachchayee Ishaat Ghar, Pakistan (1997)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.