ya-rab doi ke fikr se mujhko faragh baKHsh
yārab doī ke fikr se mujh ko farāġh baḳhsh
vahdat ke mai-kade se labāb-e-ayāġh baḳhsh
andhāre meñ paḌā huuñ kasrat ke vahm se
vahdāniyat kā lutf suuñ raushan charāġh baḳhsh
rastā huzūr terī kā mere se bhul gayā
apnī taraf tuuñ aap karam kar surāġh baḳhsh
ġhuncha sifat hai jī merā hirs-o-havas se tañg
apne ishq kā laala ke mānind daaġh baḳhsh
murdār dost zāġh-e-misl hai merī tab.a
bulbul-misāl dil kuuñ mere shauq baaġh baḳhsh
tauhīd ke chaman meñ khule phuul rañg-rañg
ainul-yaqīñ kī bū se mo.attar dimāġh baḳhsh
ḳham saaf sibaġhatullāh vahdat vajūd se
'bedil' ke ruuh koñ sharafuzzabāġh baḳhsh
yarab doi ke fikr se mujh ko faragh baKHsh
wahdat ke mai-kade se labab-e-ayagh baKHsh
andhaare mein paDa hun kasrat ke wahm se
wahdaniyat ka lutf sun raushan charagh baKHsh
rasta huzur teri ka mere se bhul gaya
apni taraf tun aap karam kar suragh baKHsh
ghuncha sifat hai ji mera hirs-o-hawas se tang
apne ishq ka lala ke manind dagh baKHsh
murdar dost zagh-e-misl hai meri taba
bulbul-misal dil kun mere shauq bagh baKHsh
tauhid ke chaman mein khule phul rang-rang
ainul-yaqin ki bu se moattar dimagh baKHsh
KHam saf sibaghatullah wahdat wajud se
'bedil' ke ruh kon sharafuzzabagh baKHsh
- Book : Bedil Jo Urdu Kalam (Pg. 133)
- Author : Faqeer Qadir Bakhsh Bedil
- Publication : Sachchayee Ishaat Ghar, Pakistan (1997)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.