mansur lafz-e-man mein hai be-iKHtiyar mahz
mansūr lafz-e-man meñ hai be-iḳhtiyār mahz
vo vasf-e-ḳhveshtan meñ hai be-iḳhtiyār mahz
kahtā thā 'bā-yazīd' anallāho fa.abudūn
jo mahv thā sajan meñ hai be-iḳhtiyār mahz
'attār'-e-man ḳhudā kā nakārā bajāyā ḳhuub
aarif aise suḳhan meñ hai be-iḳhtiyār mahz
zāhir thā qum-beiznī ḳhudā kī zabān se
shamsulhaq is bachan meñ hai be-iḳhtiyār mahz
bismil sifat phaḌaktī hai pahlū meñ dil mudām
vo pasand se agan meñ hai be-iḳhtiyār mahz
dil-e-be-qarār-e-'bedil' jab se ki phañs gayā
us zulf-e-pur-shikan meñ hai be-iḳhtiyār mahz
mansur lafz-e-man mein hai be-iKHtiyar mahz
wo wasf-e-KHweshtan mein hai be-iKHtiyar mahz
kahta tha 'ba-yazid' anallaho fabudun
jo mahw tha sajan mein hai be-iKHtiyar mahz
'attar'-e-man KHuda ka nakara bajaya KHub
aarif aise suKHan mein hai be-iKHtiyar mahz
zahir tha qum-beizni KHuda ki zaban se
shamsulhaq is bachan mein hai be-iKHtiyar mahz
bismil sifat phaDakti hai pahlu mein dil mudam
wo pasand se agan mein hai be-iKHtiyar mahz
dil-e-be-qarar-e-'bedil' jab se ki phans gaya
us zulf-e-pur-shikan mein hai be-iKHtiyar mahz
- Book : Bedil Jo Urdu Kalam (Pg. 135)
- Author : Faqeer Qadir Bakhsha Bedil
- Publication : Sachchayee Ishaat Ghar, Pakistan (1997)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.